Sunday, 5 November 2017

DAWAT KA AAGHZ TAWHEED SE


Bismillahir Rahmanir Raheem

Hazrat Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhu ne beyan kya keh Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mauz Radi Allahu Anhu ko jab yaman bheja, too unn se farmaya:

Tum ek aisi qaum ke pass ja rahe ho jo ahle kitab hain, isliye jab tum wahan pahuncho to pahle unhe dawat do keh woh iss baat ki gawahi den keh

 Allah ke siwa koi Mabood nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke sachche Rasool hain

aur iss baat mein jab tumhari baat maan len to unhe batao keh

Allah Ta'ala unn par rozana din raat me panch waqt ki namazen farz ki hain

jab woh tumhari baat mann len to unhe batao keh unn ke liye

Allah Ta'ala ne zakat dena zaruri qarar dya hai, yeh unn ke maal daron se li jaye gi aur unn ke gharibon par kharch ki jaye gi

phir jab woh iss mein bhi tumhari baat mann len to

Unn ke achche maal lene se bacho aur mazlum ki aah se daro keh iss ke aur Allah Ta'ala ke darmiyan koi rokawat nahi hoti

📓 (Sahih Bukhari: 1496)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment