Sunday, 26 November 2017

APNE AAP KO JAHNNAM SE KHUD HI BACHO AUR APNE RISHTADARON KO DARA DO


Bismillahir Rahmanir Raheem

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu beyan karte hain keh jab yeh ayat

{‏ وَأَنْذِرْ عَشِيرَتَكَ الأَقْرَبِينَ‏}‏
  
 apney qareebi rishte walon ko dara de
(26: 214)

nazil hui to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne quraish ko bulaya , woh akhate ho gyen to aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne aam aur khass sab logon ko khetab farmaya:

"Aaye ka'bb bin luwayy ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se  khud hi bachao"

"Aye Murra bin ka'bb ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"Aaye Abdd shams ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam  se khud hi bachao"

"Aye Abdd bin Manaf ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"Aye Hashim ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"Aye Abdul Mutalib ki awlad ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"Aye Fatima ! Tum apne app ko jahnnam se khud hi bachao"

"kyun ke main tumhare liye Allah Ta'ala se kisi cheez ka Malik nahi, haan tumhare liye rishtadari ka haq hai jise main ada Karun ga"

📓 ( Sahih Muslim: 204)

🚫  Iss hadith mubarak mein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne wajhe kar diya hai keh woh apne khandan ke liye to kaja apne lakht e jigar Hazrat Fatima Radi Allahu Anha ke liye bhi nafa o nuqsan ka ikhtiyar nahi rakhte .

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment