Saturday 4 November 2017

Tawheed kya hai❓


📗{Part-1}

Tawheed ka lafz hadees mein maujood hai, Nabi (Sallallahu Alyhi Wasallam) ne farmaya:

"Ahle Tawheed mein se baaz aise bhi log honge jo Jahannum ki Aag mein Aazab diye jayenge yahan tak ke wo jal ke koyla ho jayenge phir Allah'tala ki Rahmat unko payegi to unko nikal liya jayega, Jahnnum se nikal kar Jannat ke darwaazon par dal diya jayega."

Is hadees ko Imam Ahmed (Rahimahullah) Imam Tirmizi (Rahimahullah) ne Jabir (Radi Allahu'anhu) se Riwayat kiya hai, aur Saheeh Aj'Jamia Sageer Hadees no. 8103 par Shaikh Al Bani (Rahimahullah) ne Saheeh Kahan hai.


Shaikh Uthaymeen (Rahimahullah) kehte hai:

"Ahle ilm ne Tawheed ki 3 qismein bayaan ki hain,

Tawheed-e-Rububiyyat,
Tawheed-e-Uloohiyyat,
Tawheed-e-Asmaa o Sifaat,


In Teeno ki Daleel ek Aayat mein hai, Allah'tala ne farmaya:

"Wo Rabb hai Aasmano aur Zameen ka aur unke bech tamaam chizon ka to usi ki ibadat kar aur uski ibadat par Jama reh Kya tu uska koi hum-naam jaanta hai."

📚{Surah Maryam Aayat 65}

To Allah'tala ka ye farmana ke "Wo Rab hai Aasmano aur Zameen ka aur unke bech tamaam chizon ka" ye Tawheed-e-Rububiyyat hai,

Aur Allah ta'ala ka ye farmana ke "Tu usi ki ibadat kar aur uski ibadat par Jama reh" ye Tawheed-e-Uloohiyyat hai,

Aur Allah'tala ka ye farmana ke "Kya tu Uska koi hum-naam jaanta hai" ye Tawheed-e-Asma was Sifaat hai."

📚{Fatawa Noor 'ala ad-Darb Sawaal no.300}


📗{Part-2}

1. Tawheed-e-Rububiyyat:

Shaikh Uthayemeen ka fatwa hai, Majmoo Fatawaa wa Rasail Ibn e Uthayemeen Jild 1, Safa 18 par.

Shaikh Uthayemeen (Rahimahullah) kehte hain: Tawheed-e-Rububiyyat ye hai ke Teen Baton mein Allah'tala ko Aakela Manna (yani ye kaam Allah ke Siwa koi nahi karta hai, Allah ke jaisa is mein koi nahi hai)

Wo teen baate ye hai:

1. Khaliq (Har cheez ka Khaliq Paida karne wala Sirf Allah''tala hi hai)

2. Malik (Har cheez ka Malik Sirf Allah'tala hi hai)

3. Tadbeer (Tadbeer-e-Amr karne wala yani Kayenaat ka Nizam chalane wala Mudabbir Sirf Allah'tala hi hai

Ye Tawheed-e-Rububiyyat hai.

Tamaam chizo ka Khaliq Sirf Allah'tala hi hai, iski Daleel:

Allah Ta'ala ka farmaan hai:

"Allah hi har cheez ka Khaliq hai aur Wo har cheez par Nigehbaan hai."

📚{Surah Az-Zumar Aayat 62}

Tamaam chizo ka Malik Sirf Allah hi hai, iski Daleel:

Allah Ta'ala ka farmaan hai:

"Allah hi ki Badeshahi hai Aasmano ki Zameen ki aur un mein jo kuch hai, aur Wo tou har cheez par Qadir hai."

📚{Surah Maidah Aayat 120}

Tadbeer-e-Amr yani Kayenaat ka Nizam chalane wala Mudabbir Sirf Allah'tala hi hai, iski Daleel:

Allah Ta'ala ka farmaan hai:

"Aasmaan se Zameen tak ka Nizam Allah'tala hi chalata hai."

📚{Surah As Sajdah Aayat 5}

(Yani Kayenaat ki har cheez ka Khaliq yani Paida karne wala Sirf Allah'tala hi hai aur Kayenaat ki har cheez ka Malik bhi Sirf Allah'tala hi hai aur is Kayenaat ka Nizam chalane wala muaamle ki tadbeer karna wala Mudabbir bhi Sirf Allah'tala hi hai, is mein Allah ka koi Shareek nahi hai aur Allah jaisa koi nahi hai wo Aakela hi ye sab kaam karta hai).


📗{Part-3}

2. Tawheed-e-Uloohiyyat:

Har Qism ki ibadat Sirf Allah ke liye ki jaye, ye Tawheed-e-Uloohiyyat hai.

Allah ki ibadat mein kisi ko Shareek karna Shirk hai, iski Daleel Allah Taala ka ye farmaan hai:

"Allah ki ibadat karo aur Allah ke sath kisi cheez ko bhi Shareek na karo."

📚{Surah An Nisa Aayat 36}

LA'ILAAHA ILLALLAH ka Matlab aur Saheeh Tarjuma: La'ilaaha illallah ka Saheeh Tarjuma ye hai "Allah ke Siwa koi Haqeeqi Mabood nahi".

Iski Daleel Allah Ta'ala ka ye farmaan hai:

"Ye is liye ke Allah Taala hi Haq hai aur Allah ke siwa jin ko ye Pukarte hain wo Batil hai."

{📚Surah Haj Aayat 62}

👉🏻Matlab: La'ilaaha illallaah ka matlab ye hai ke "Allah ke Siwa koi ibadat ke laaiq nahi hai"

Iski Daleel Allah Ta'ala ka ye farmaan hai:

"Aye Nabi ! Aapse pehle jo koi Rasool Humne bheja to har Rasool ki taraf Humne ye paigham bheja ke Mere Siwa koi bhi ilaah (mabood) nahi hai to Tum Meri hi ibadat karna."

📚{Surah Al Ambiya Aayat 25}


📗{Part-4}

2. Tawheed-e-Uloohiyyat:

Ilaah (mabood) ka Matlab: Mabood wo hai jiski ibadat ki jaye, to in Do Aayaat mein bata diya gaya hai ke Haqeeqi Mabood Sirf Allah hi hai is liye ibadat bhi Sirf Allah ki hi ki jayegi.


Ibadat kya hai❓

Ulama e kiraam ne ibadat ki 5 Qismein bataayi hain:

1. Qalbi ibadaat, (Dil se ki jane wali ibadaat, jaise Allah par Emaan Rakhna, Aakhirat par Rakhna, Allah se Umeed Rakhna, Allah ki Saza ka Khauf Rakhna, Allah se Muhabbat karna, wagaira, wagaira, ye Qalbi ibadaat hain)

2. Lisani ibadaat, (Zubaan se ki jane wali ibadaat, Tasbeeh Padhna, Qur'an Padhna, Khutba dena, Neki ka hukm dena, Buraayi se Rokna, Shukr karna, wagaira, wagaira)

3. Badani ibadaat, {Badan (jism) se ki jane wali ibadaat, Namaz mein Qiyaam Karna, Sajda Karna, Ruku Karna, Ka'ba ka Tawaaf karna, wagaira, wagaira, ye Badani ibadaat hai}.

4. Maali ibadaat, (Maal se ki jane wali ibadaat, jaise Zakaat dena, Sadqa karna, Hajj ka Kharch, Masajid Banana, Qurbani karna, wagaira wagaira, jis mein Maal lagta hai wo Mali ibadaat hai)

5. Tark e aadaat (Allah ki Riza aur khushi ke liye Aamaal chor dena tark e aadaat hai, wo Aamaal jinko Insaan Allah ke liye chor deta hai, jaise Roze mein Khana Peena chor dena, Sharaab chor dena, Zina chor dena, wagaira, wagaira, wo Aamaal jo Allah ke liye chor diye jaaye wo Tark e aadaat hain)

In 5 ibadaat mein bhi 2 Qisam hain:

1. Ebadaad-e-Mehza

2. Ebadaad-e-Gair'Mehza

Allah ne jo hukm diye hain wo 2 Qism ke hain:

1. Wo Aamaal jinki Nisbat Allah hi ki taraf hoti hai,

Misaal: Namaz Padhna, Dua karna, Sajda karna, wagaira, wagaira, aise Aamaal jis mein Allah aur Bande ke bech mein koi nahi hota hai. ye ibadaat-e-Mehza hain,


2. Wo Aamaal jinki Nisbat Bandon ki taraf hoti hai, wo Aamal Allah ke liye hi hota hai lekin uska Rukh Bando ki taraf hota hai,

Misaal: Maa Baap ki Khidmat karna, Sadaqaat karna, wagaira wagaira, jis mein Allah aur Bande ke bech mein koi aur hota hai. Ye ibadaat-e-Gair'Mehza hai.


📗{Part-5}

3. Tawheed-e-Asmaa o Sifaat:

Ibne Taiymiya "Rahimahullah" farmate hain:

"Salaf ka mazhab Allah ke talluq se ye hai ke wo Allah ke bare me wahi baat tasleem karte hain jo Allah ne Apne bare me bayaan ki hain aur jo Allah ke Rasool " (Sallallahu Alyhi Wasallam)" ne Allah ke bare me bayaan ki hain, aur us ke tasleem karne mein wo un Asmaa o Sifaat ki Tehreef nahi karte aur na usko Mu'attal karte hai, aur un Sifaat aur Af'aal ki koi Kaifiyat wo apni taraf se tay nahi karte, aur Allah ki kisi Sifat mein kisi Makhlooq ko Allah jaisa nahi maante yani Allah ke liye Tamseel ka iqrar nahi karte, Allah ne jo Sifaat Apne liye Zikr ki hain unka Inkaar bhi nahi karte hain, aur Allah ki kisi Sifat mein Makhlooq ki tarah Allah ko tasleem nahi karte hain, ya Allah ki tarah Makhlooq ko nahi maante, Allah ki Sifaat ki Nafi karne wala Mu'attil hai, aur jo Mu'attil hai wo Makhlooq ki ibadat kar raha hai, aur Allah Taala ki Sifaat mein Makhlooq ko Allah jaisa manna ya Allah ko Makhlooq jaisa manna Ek se ziyada Mabood ki ibadat karne jaisa hai waise hi jaise koi Insaan kisi Sanam (but) ki ibadat kar raha hai, aur Salaf ka mazhab tariqa ye hai ke wo Allah ki Sifaat ko maante hain lekin Makhlooq jaisa nahi, aur Allah Taala ki Paaki aur Allah ko tamaam Oyoob se paak hone ka aiteqaad rakhte hain."

📚{Majmoo Al Fatawaa, Jild no.8, Safa no.432}

Allah ke Asmaa aur Sifaat ke bare me buniyadi baat ye hai ke Allah ke bare me hum tay nahi kar sakte hain ke Allah ki kaunsi Sifat kya ma'ana rakhti hai balki iska marja' aur masdar agar koi hai to khud Allah ki Kitaab aur Allah ke Rasool "(Sallallahu Alyhi Wasallam)" ki Sunnat hai (yane Qur'an aur Hadees) kiunki Allah ke bare me sab se ziyada jaane wala aagar koi hai to wo Allah hi hai,

Allah Tala ka farmaan hai:

"Allah jaanta hai aur Tum nahi jaante."

📚{Surah Al Imran Aayat 66}

Maklooq Allah ke bare me kuch bhi nahi jaan sakti hai jab tak ke khudAllah Ta'ala Apni Makhlooq ko Apne bare me na bataye, is liye Allah Ta'ala ne Apne Bandon mein se Apne Nabiyon ko chuna aur Unko Apne bare me batlaya aur hukm diya ke wo logon ko batayen ke Allah kaisa hai,

Allah ke Rasool " (Sallallahu Alyhi Wasallam)" ne farmaya:

"Tum mein sab se ziyada Allah se Darne wala aur sab se ziyada Allah ke bare me ilm rakhne wala Main hun."

📚{Saheeh Bukhari, Kitabul Emaan}

Is liye apni aql se Allah ke bare me kuch na kahen, balki Qur'an aur Hadees mein jo aaya hai wahi kahen.

Allah ke Asmaa aur Sifaat ke bare me Allah ne ilhaad se mana kiya hai,

Allah Ta'ala farmate hai:

"Allah ke liye achche achche Naam hain tum unhi Naamo se Allah ko pukaro, aur unhein chor do jo Allah ke Naamon ke silsile mein ilhaad ka tariqa ikhtiyaar karte hain, an'qareeb unko unki kartoot ka badla zaroor milega."

📚{Surah Al Aa'raaf Aayat 180}


📗{Part-6}

Ilhaad kya hai ❓

Ahle Ilm ne Ilhaad mein 4 cheeze bayaan ki hain,

1.Ta'teel

2.Tamseel

3.Tak’yeef

4.Tehreef

📚Ta'teel aur Tamseel:

Ta'teel ye hai ke Allah ke Asmaa o Sifaat ko mu'at'tal kar diya jaye yani uska inkaar kar diya jaye,

Allah Ta'ala ne farmaya:

"Yaqinan wo log jo Allah ki Aayaton ka inkaar karte hain, unke liye bada hi dard'naak aazab hai."

📚{Surah Aal e Imran Ayat 4}

Is Aayat mein Allah Ta'ala ne Allah Tala ki Aayaton ka inkaar karne walon ke liye Azaab ka zikr kiya aur un par Kufr ka fatwa diya hai, Qur'an ki Aayaat mein jo bhi Allah ke Asmaa o Sifaat aaye hain unka inkaar karna Allah ki Aayaton ka inkaar karna hai.


Allah Ta'ala ne farmaya:

"Jo log Allah ke saath aur us ke paighambar ke saath kufr karte hain aur jo log yeh chahte hain ke Allah aur us ke Rasool ke darmiyan farq karen aur jo log kehtenhain ke baaz Nabiyon par to hamaara emaan hai aur baaz par nahi aur chahte hain ke iss kay aur uss kay bain bain koi raah nikalen. Yaqeen mano ke yeh sab log asli kafir hain aur kafiron ke liye hum ne ihaanat-aamez saza tayyar kar rakhi hai. "

📚{Surah Nisa Aayat 150-151}

In Aayaat se pata chala ke Allah aur Uske Rasool mein farq karne wala, aur baaz par Emaan lane aur baaz par Emaan nahi lane wala, kafir hai, aur jo Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hadees ka inkaar kare wo bhi Kafir hai, aur Hadees mein jo Allah ke Asmaa o Sifaat aaye hain unka inkaar karne wala bhi kafir hai.

Tamseel:

Tamseel ye hai ke Allah ki Sifaat mein makhlooq ko Shareek mane (yani Allah ki Sifaat ki tarah makhlooq ki Sifaat maane, Allah ko makhlooq ki tarah maane) Allah Tala ne iska inkaar kiya hai,

Allah Ta'ala ne farmaya:

"Allah ki Misl koi cheez nahi hai, Wo Sunne wala Dekhne wala hai."

📚{Surah As'Shuraa Aayat 11}

Is Ayat mein Allah ne farmaya ke Allah ki Misl koi cheez nahi hai, aur Allah Dekhne wala aur Sunne wala hai magar Makhlooq ki tarah nahi, kiunki Allah ke Misl koi cheez nahi hai. (Allah ka Dekhna aur Sunna alag hai aur Bandon ka Dekhna Sunna alag hai)

Allah Ta'ala ne farmaya:

"Allah ke liye Misalein na ghado (banaoo) Allah Ta'ala jaanta hai aur tum nahi jaante."

📚{Surah An-Nehal Aayat 74}

Is Ayat mein Allah ne Allah ke liye Misalein Ghadne (banane) se mana kiya hai, kiunki ho sakta hai ke wo Jihaalat mein Allah ki Shaan mein Ghustakhi kar de.


📗{Part-7}

Tak’yeef aur Tehreef:

Tak'yeef ye hai ke ek insaan apni Aql se Allah ke Asmaa o Sifaat ki koi kaifiyat bayaan kare,

Tehreef ye hai ke ek insaan Allah ke Asmaa o Sifaat mein Tehreef karde (unka kuch ka kuch matlab apni aql se badal de)

📚Tehreef 2 aitebaar se hoti hai,

1. Tehreef-e-Lafzi, (ek insaan Allah ke Kalaam mein Allah ka Kalaam nikaal kar us mein apna Kalaam daal de, ya koi Lafz daal de)


2. Tehreef-e-Manwi (Allah ki Aayaton ko jun ka tun (means as it is) padhe lekin tilawat ki hadd tak, jab uska Maana bayaan karne lage, jab usko Samjhane lage to apni taraf se us mein aise Maana bayaan kare jo Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne bayaan nahi kiya, jo waqa'ee uske Muraad ke khilaaf ho, ya us se hat ke ho)


Allah ne apne bare me hamari aql se kuch kehne se mana kiya hai, kiunki ye Apni taraf se Allah ke bare me kehna hai aur Allah Taala baghair ilm ke Qaul ko pasand nahi karte.

Allah Ta'ala farmate hai:

"Allah ke bare me tum Haq ke siwa kuch na kaho."

📚{Surah Nisa Ayat no: 171}

Aur farmaya: "Allah jaanta hai aur Tum nahi jaante."

📚{Surah Aal e Imran Aayat 66}

Is liye apni aql se Allah ke Asmaa o Sifaat ki na koi Kaifiyat bayaan kare na unka kuch Matlab bayaan kare, bas Qur'an aur Aahadees mein jitna hai aur jo hai wahi maane.

Qur'an aur Ahadees mein jis tarah Allah Ta'ala ke Naam aur uske Sifaat saabit hain un par Tamseel, Tak’yeef, Ta’teel, aur Tehreef ke baghair Emaan laana Tawheed-e-Asmaa o Sifaat kehlata hai.

Yani Allah Ta'ala ke Asmaa o Sifaat par bina kisi qism ki koi kami ya ziyadati ke min-wa-ann (jaisa aur jitna batla diya hai waise hi) Emaan lana chahiye.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment