Saturday 4 November 2017

📍KYA ISLAM ME MAZAR BANANA HARAM HAI❓


📍KYA MAZAR PER ZANA HARAM HAI❓

📗{Part-1}

Note - Quran ki kisi ek ayat ka inkar krne wala kafir hai, or usi trh Hadith ki kitabon or hadith ka inkar krne wala Murtad he.

Ab dekhte hai ki yhe kitaben Mazar ke bare me kya khti hai- Maa Ayesha r.a kehti h ki nabi saw k marzul mout k waqt umme habiba or umme salama n ek church ki khubsurati ki tarif ki, tb aap saw n frmyaa- jb yahud or nasara m koi naik shaksh mar jata tha to y log uski Qabr per masjid yani ibadat gah bna dete the or uski sajawat krte.yhe log qayamat ke din ALLAH k samne sbse badtreen makhlooq honge.
📚(Sahih Muslim 1076)

Is Hadith ki tashreeh - Qabro ko pakka krna or un par building or kubba banana haram hai or ek dusri hadith me,

Maa Ayesha r.a frmati hen- Nabi saw k bimari k waqt aapne frmya - ALLAH lanat kre yahud or nasra pr, in logo n apne ambiya ki qabro ko ibadatgah (masjid) bana diya h.
📚(Sahih Muslim 1080)

In dono hadith se bilkul wazeh h ki khud nabi saw n Qabro ko pakka krne ya mazar banane ko mana kiya h lakin fir bhi log is issue ko lekar arguement krte hai or imam ad dahabi likhte h- nabi saw ke time me bhi makka me naik logo ke mazarat mojud the or makka ke mushrik buton ke sath qabro ki ibadat krte or kehte ki yhe murde hamari fariyad sunte hai or hamari fariyad ko Allah tak pahuchate hai.

📍KYA MAZAR PER ZANA HARAM HAI❓

📗{Part-2}

ALLAH ne ayat nazil ki-zinda or murde barabar nahi ho sakte hai. ALLAH jisko chhata hai suna deta hai or aap in logo ko nahi suna sakte jo qabro me hen.
📚(Surah Fatir Ayat -22)

Or jin jin ko yhe log ALLAH ke siwa pukarte he wo kisi chiz ko peda nahi krskte hai or wo khud peda kiye hue hen ,murde hen zinda nahi hai unhe to yhe bhi shaur nahi hai ki hum uthaye kb jaynge.
📚(Surah Nahal Ayat 20-21)

lakin jb nabi saw ne makka ko fateh kiya to aapne Ali r.a ko hukm diya. Hazrat Abul Hiyaj al-Assadi r.a kehte hai ki me Ali r.a ki foj me sipahi tha. Ali r.a k mujhse kaha ki mujhse nabi saw ne kaha hai ki tum makka me her statue(boot) ko tod do har tasveer ko mita do or her qabr ko tod kr zameen se level kerdo.
📚(Muslim 1098)

Abir Radi allahu anhu se Rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabro ko pukhta karney, aur us par baithney aur us par imaarat (building) bananey se mana farmaya hai.
📚(Sahih Muslim, 2245)

Kya in Hadith k bad b koi shaq baki reh jata h ki islam m Dargah ya Mazar ka koi concept hai.


📍KYA MAZAR PER ZANA HARAM HAI❓

📗{Part-3}

Ab zara dekhte h ki mazaro pr jane walo k liye kya hukm h;- Abu Huraira radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar koi Ek Angaarey par baithey aur uskey kapdey jal jaye aur uski khaal tak pahunchey ye behatar hai, us sey ki Wo Qabr par baithey.
📚(Sahih Muslim 2248)

Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabro ki ziyarat karney wali aurton par laanat farmayee hai aur isi tarah Qabron par masjid bananey walo aur us par chirag karney walon par bhi laanat farmayee hai.
📚(Sunan Abu Dawud1459)

Ab hum zara un logo ki dalil ka analysis ker lete hai jo Dargah pr jane ki dalil pesh krte hai.

👉🏻1. Ab jo log kehte h ki Mazaro per jana chhye wahan jakar dua krna chhye unki pehli dalil y hadith kuch yun hoti hai.

Buraida Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mainey tumhey mana kiya tha Qabro ki Ziyarat karney se lekin ab tum Ziyarat karo unki.
(Sahih Muslim, Vol5, 5114)

Fir khte h ki dekho khud nabi saw ka hukm h ki qabro ki ziyarat kiya kro lakin tum log Mazar pr jane ko mana krte ho.

Lakin yhe hadith mis cott ki gyi h, Is Hadith ki tashreeh khud imam muslim is tarah krte h ki

Bureda r.a riwayat krte h ki nabi saw n humse bataya ki mene apne ALLAH waliden ki ziyarat krne ki ijazat mangi thi joki mujhe nahi di gyi, lakin ab mujhe qabro ki ziyarat krne ki ijazat mil gayi isliye me tumhe hukm deta hun ki tum b qabro ki ziyarat kiya kro taki tumhe (mout) akhirat ki yad aati rahe. Is hadith ko ibn maja n b riwayat kiya hai.

📍KYA MAZAR PER ZANA HARAM HAI❓

📗{Part-4}

Ab zara yahan hum kuch points clearify kr den.

1. Haidth m ziqr h Qabro ka yani arabic zuban m qabr k liye lfz qubur aata h, isliye hadith m lafz qabur he. lkin kuch log isay mazar s jodte h jbki y bilkul galat h qki mazar ko arabic zuban m maqbara kaha jata h, isliye hadith m lafz qubur h naki makbara. isliye pehli bat to yhe hui k y hadith mazar pr fit hi nahi hoti h .

2. Is Hadith m aam qabro ka zikr h naki kisi makhsus shakshiyat ka qki nabi saw n apne maa bap ki qabr ka ziqr kiya tha. yani nabi saw ki murad aam kabristan s thi naki kisi makhsus bnde ki qabr s.

3. Nabi s.w.s n qabr ki ziyarat ka mksad kuch yun bayan kiya ki wahan jane s tumhe mout ki yad aaygi or yakinan jb bnda kisi ko dfnane kabristan jata h to wahan jakar usay khud b ehsas hota h ki aaj y yahan aaya h. shayad kal m yahan aaun. jisse uske dil m Allah ka dar aata h or ek umid hoti ki wo shayad jo galat kam kr rha h usse touba kr le, jbki mazar ka mamla iske bilkul ulta h.

Meri bat ko na mano or apne dil pr hath rakh kr kaho ki kya waqai m kisi mazar pr jane s kbi ksii ko mout ki yad aayi, wahan ki ronak, wahan qawaliyan hoti h, hijde nachte h,  kuch charsi wahan ghum rahe hote h, mela laga hua hota h, jahan awara ladke ladkiyon ko cher rahe hote h. haram khori or ayashi k liye mazar k trust k rumo ki bookings full rehti h...mazaro ko khubsurati s sajaya hua hota h.wahan trh trh k perfume chidke hue hote h .dhup batti or pata nahi kya kya jal raha hota h..kya waqai m mazar pr jane k kisi b bnde ko mout ki yad aati h.

han y to hoskta h ki mazar or jane s hijde ka dance dekhkar haram khori ki yad aaye lakin mout ki yad impossible..

isliye y dalil bilkul fit hi nahi beth ti he.

📍KYA MAZAR PER ZANA HARAM HAI❓

📗{Part-5}

2. kuch log yun be kehte hai ki agr Mazar islam me haram hota to nabi saw ka mazar na hota.bht sare logo ne peero fakhiro ki saji hui Mazar ke photo per y likh diya ki yhe nabi saw ka mazar h, to log y smjhte h ki waqai m nabi saw ka mazar itna khub surat saja hua hota hai.

Ab zara thora sa khulasa bayan kartye hai–

Nabi saw ki qabr ek andhere room m bnd hai or mitti ki qabr hai us pr koi chadar wagerah kuch nahi h. Masjid nabwi s laga hua wo room h jisme nabi saw ki qabr hai joki Ayesha r.a ka hujra tha. wahan na koi lighting h na koi jhumar tange hai. kuch b nhi or wo kamra locked hai wahan kisi k jane ki permission b nahi hai.

Dusri bat qabr ke bht duri pr room ki dewar h or deewar pr jali lagi hui h. kuch sal phle tak jali m jhakne ki permision thi lkin ab wo b khtm kr di ggyi or ek bht lmbi angle laga di gyi or wahan kisi ko rukne nahi diya jata h bs ziyarat kro or chlte raho wahan police hoti h wrna to india or pak k bidati wahan ruk jate the or nabi saw k roza mubarak k samne hath fela kar dua mangne lagte the jabki jo log roze ki ziyarat kiye wo jante h ki nabi saw ka roza kaaba s opposite direction m he. yani jb masjid nabwi namaz hoti h to nabi saw k roze ki trf namazi ki kamar hoti h. isliye wahan k poilce wale rukne nahi dete h. yahan tak kare india or pak k bidati ki jali m paper likh likh kr dal diye jiski wjh s wahan hr roz safai krni padti isliye ab bht duri par way bana diya h bs wahan s guzro or ziyarat kro krib nahi aaskte hai.

Allah ki Kasam maine Khud is bat ki Tahkeek ki hai or Mai Madeena jaker yhe dekha bhi hai.
Alhumdolliha !!


📍KYA MAZAR PER ZANA HARAM HAI❓

📗{Part-6}

Ab ek sawal joki bht sare log krte h ki jb nabi saw ki Hadith h ki qabr ko msjid na banao.yani qabr k upar kubba nahi hona chhye to nabi saw k roze pr kubba q he.iski zara wazahat zaruri h.

Nabi saw k wafat pr sahaba m ikhtilaf hua ki nabi saw ko kahan dafn kiya jaye . Abu baqr siddiq r.a n kaha ki mene nabi saw ko y khte hue suna tha ki nabi jahan mrta h wahin dafn hota h.or qki nabi ki wafat ayesha r.a k hujre m hui thu isliye unko wahin dafan kr diya gya.bad m abu baqr r.a ki mout hui to unko b nabi saw ki krib m hi dafn kr diya gya. jb umar r.a ko shahid kiya gya to unhe b wahi nabi saw k krib m hi dafan kr diya gya qki umar r.a n Ayesha r.a s ijzat mangi thi.umar r.a k wahan dafn hone k bad Ayesha r.a n wo hujra chor diya or alag dusri jagah rehne lagi. aur y b sb jante h ki Ayesha r.a ka hujra masjid nabwi k bilkul krib tha. ab sahaba n us hujre k drwaze hata kr wahan b deewar s bnd kr diya kahin log shirk na krne lage aur us hujre ki chat b hata di.

Madina ki abadi badhti rahi to masjid ko badhana pada, lkin jitne b khalifa the sbne majid ko is trh badhaya ki masjid nabi saw k roze dur rahe yani right side or aage ko badhaya left side or piche ko aise hi rehne diya. jitni b hukmuran madina m aate rahe unhone masjid nabwi ko isi trh felaya.qki sb jante the ki agr msjid nabwi nabi saw k roze s ja mili to pichle namaziyo ki namaz nahi hogi, qki sajda k samne koi qabr hona haram h.

lkin 800 hijri k bad ek hukmuran aisa aaya jisne msjid ko charo trf s fela diya jiska nam ibn saleem tha, usne masjid ko bada kiya or nabi saw k roze k upar chat dali or us par gumbad banaya. ibn saleem ek bidati tha aur uske akaid m shia akaid mile jule the aur usne is gumbad ko blue clr diya, tb y gumbad bana aaj iska clr green h to kuch logo n apne pagdi ki nisbat gumbd k clr s de di he. Kal saudi goverment isko white kr degi tb kya krnege y bewakuf log aur aaj b jo log madina aaaye he or masjid nabwi m namaz ada kiye h unhone wahan pr board lage dekhen honge jahan pr border bane hue h ki sirf yahan pr namaz padhen aur kuch jgh pr board lage hue h ki yahan namaz na ada kren . yhe us qabr ki hi wjh s he.


📍KYA MAZAR PER ZANA HARAM HAI❓

📗{Part-7}

Ab ek sawal or jo mujse bht sare logo n kiya or khud mere zehen m uth ta tha ki saudi goverment to ahle haq hai wo log is gimbad ko q nahi todte . is silsile m meri ek saudi mufti sab s bat hui or mene unke samne yahi sawal rakha, to unhone bataya ki jb ale saud or abdul wahab r.a n milkar saudi arab ki zameen ko mazar or shirk s pak kiya to duniya k kai contries hamare dushman ho gye or hamare khilaf tehreek chalayi aur us tym pr saudi arabia aaj k jesa koi amir mulk nahi tha ; bhut garib mulk tha.

Saudi Arabia to oil mil jane k bad s Ameer hua hai or Saudi Arabia m oil 1938 m mila h. bad m ale saud k beto n chaha ki is gumbad ko b tod diya jaye or muftiyon s fatawe mange gye , to muftyon y kehkar rok diya ki tamam duniya shirk m dubi hui hai or tamam logo n apni nisbat is gumbad s jod rakhi h .agr kahin isay b tod diya to kahin aisa na ho ki aas pas ki kai hukumat hamare khilaf ho jaye qki saudi k krib m iran h or iran m shia hen or shia log kubba sazi ko iman ka rukn mante h idhar iraq m b 60% shia hen or krib m syria m 70% shia hen aur dusri bat jin jin mulko m b musalman h wahan ahle haq b h or ahle bidat b he jb y kubba giraya jayga to ahle haq khush honge or ahle bidat iske khulaf khde honge to kahin aisa na ho ki koi khun kharaba un mulko m ho jaye . isliye kubba kisi insan ki jan s zyda achha nahi h..y maslehat ko dekhte hue is kubbe ko nahi giraya aur kuch fesle krne hi padte h thik usi trh ki sare Ahle Sunnah k firke is bat pr ittaefaq rakhte h ki,
📚Shia kafir hen lakin fir b unhe haj krne ki ijazat saudi hukumat ne di hui hai.

Isliye y dalil bilkul galat h ki nabi saw ka Mazar h to baki peero fakhiro ka b hona chhye aur ek bat m yahan y b arz kr dun ki hamara sb musalmano ka akida y h ki nabi saw ki barabari koi nahi kr skta h to fir sawal h y ki apne peero fakhiro k mazar banakr tum log apne peero fakhiro ki barabri nabi saw q kr rahe ho.

📚Humne  bht tehqeeq ki or uske bad is status ko dala or paya jitne b log mazar k taluk s riwayat bayan krte h wo riwayten ya to daef he ya mansukh ya jhuti rwayten hen, ek b sahih riwayat mojud nahi h jisse mazar ka banna islam m sabit ho.

Or akhiri bat kuch log bolte h ki kya tumhre alim hi jante h ..hamare alim b to h hamare ulema b to Quran or hadith ko study krte hen ....agr aisa hota to wo hume zarur batate❓❓

Hum unse palatkar sawal krte h ki shia or qadyani ko tum b gumrah firke mante ho .to mera sawal y h ki kya shia log m ulema nahi h or kya qadyani m ulema nahi h ....

Yakinan unme b alim hote hote or wo b Quran or hadith ka ilm lete hen lkin fir b woh gumrah(Kafir) hai.

Isi trh tumhre ulema b yakinan Quran or hadith ka ilm lete h lkin fir b gumrah h..

Allah Ta'ala se dua hai ki hame Sahih Deen E Ilm Samghne ki Taufeek de or Shirk or Biddat se bachaye.
Aameen.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

20 comments:

  1. Tu wahabi jahanami hai glt bt bta rha

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai woh quran hadees ke ilawa kya bole hai bataye kya quran ki aayat padhna hadees sunana galat hai ap khud sochiye

      Delete
    2. Iss ne bohat kuch galat likha bhi hai aur galat samjha bhi hai.

      Delete
    3. Anp ne kuch habale Galt likhke hain sahi muslim 1076,1080 Abu dawood 1459 ye sab Galt hai

      Delete
    4. Hadith thik hai par hawala galat
      Ye check karo bhai..
      صحیح بخاری
      کتاب: جنازوں کا بیان
      باب: باب: قبر پر مسجد تعمیر کرنا کیسا ہے؟
      حدیث نمبر: 1341

      حدیث نمبر: 1341
      حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنِي مَالِكٌ ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ هِشَامٍ ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهِ ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا،‏‏‏‏ قَالَتْ:‏‏‏‏ لَمَّا اشْتَكَى النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ذَكَرَتْ بَعْضُ نِسَائِهِ كَنِيسَةً رَأَيْنَهَا بِأَرْضِ الْحَبَشَةِ،‏‏‏‏ يُقَالُ لَهَا:‏‏‏‏ مَارِيَةُ، ‏‏‏‏‏‏وَكَانَتْ أُمُّ سَلَمَةَ وَأُمُّ حَبِيبَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا،‏‏‏‏ أَتَتَا أَرْضَ الْحَبَشَةِ فَذَكَرَتَا مِنْ حُسْنِهَا وَتَصَاوِيرَ فِيهَا، ‏‏‏‏‏‏فَرَفَعَ رَأْسَهُ،‏‏‏‏ فَقَالَ:‏‏‏‏ أُولَئِكِ إِذَا مَاتَ مِنْهُمُ الرَّجُلُ الصَّالِحُ، ‏‏‏‏‏‏بَنَوْا عَلَى قَبْرِهِ مَسْجِدًا،‏‏‏‏ ثُمَّ صَوَّرُوا فِيهِ تِلْكَ الصُّورَةَ، ‏‏‏‏‏‏أُولَئِكِ شِرَارُ الْخَلْقِ عِنْدَ اللَّهِ.

      ترجمہ:
      ہم سے اسماعیل بن ابی اویس نے بیان کیا ‘ کہا مجھ سے امام مالک نے بیان کیا ‘ ان سے ہشام بن عروہ نے ‘ ان سے ان کے باپ نے اور ان سے عائشہ ؓ نے کہ جب نبی کریم ﷺ بیمار پڑے تو آپ ﷺ کی بعض بیویوں (ام سلمہ ؓ اور ام حبیبہ ؓ) نے ایک گرجے کا ذکر کیا جسے انہوں نے حبشہ میں دیکھا تھا جس کا نام ماریہ تھا۔ ام سلمہ اور ام حبیبہ ؓ دونوں حبش کے ملک میں گئی تھیں۔ انہوں نے اس کی خوبصورتی اور اس میں رکھی ہوئی تصاویر کا بھی ذکر کیا۔ اس پر نبی کریم ﷺ نے سر مبارک اٹھا کر فرمایا کہ یہ وہ لوگ ہیں کہ جب ان میں کوئی صالح شخص مرجاتا تو اس کی قبر پر مسجد تعمیر کردیتے۔ پھر اس کی مورت اس میں رکھتے۔ اللہ کے نزدیک یہ لوگ ساری مخلوق میں برے ہیں۔

      Delete
  2. Jahannam tere baap ki nahi hai mere bhai jab kisse chahe daalde

    ReplyDelete
  3. Ye toh hoga hashar ko maloom ke jeeta kon aur haaraa kon
    #LabaikYaRasoolAllah

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ap bhi quran padhye bhai apko khud haq saamne aayega

      Delete
    2. Quran se hi sabit he qabaro pe jana samjha

      Delete
  4. Is Article mein Bilkul ghalat Information di gayi hai..
    Quran o Hadees ki ghalat tarjumani ki gayi hai

    ReplyDelete
  5. Aapne jo hadees k daleel diye ho wo google pr search krne pr same hadees nahi milti.. Plzz reply

    ReplyDelete
    Replies
    1. صحیح بخاری
      کتاب: جنازوں کا بیان
      باب: باب: قبر پر مسجد تعمیر کرنا کیسا ہے؟
      حدیث نمبر: 1341

      حدیث نمبر: 1341
      حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنِي مَالِكٌ ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ هِشَامٍ ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهِ ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا،‏‏‏‏ قَالَتْ:‏‏‏‏ لَمَّا اشْتَكَى النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ذَكَرَتْ بَعْضُ نِسَائِهِ كَنِيسَةً رَأَيْنَهَا بِأَرْضِ الْحَبَشَةِ،‏‏‏‏ يُقَالُ لَهَا:‏‏‏‏ مَارِيَةُ، ‏‏‏‏‏‏وَكَانَتْ أُمُّ سَلَمَةَ وَأُمُّ حَبِيبَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا،‏‏‏‏ أَتَتَا أَرْضَ الْحَبَشَةِ فَذَكَرَتَا مِنْ حُسْنِهَا وَتَصَاوِيرَ فِيهَا، ‏‏‏‏‏‏فَرَفَعَ رَأْسَهُ،‏‏‏‏ فَقَالَ:‏‏‏‏ أُولَئِكِ إِذَا مَاتَ مِنْهُمُ الرَّجُلُ الصَّالِحُ، ‏‏‏‏‏‏بَنَوْا عَلَى قَبْرِهِ مَسْجِدًا،‏‏‏‏ ثُمَّ صَوَّرُوا فِيهِ تِلْكَ الصُّورَةَ، ‏‏‏‏‏‏أُولَئِكِ شِرَارُ الْخَلْقِ عِنْدَ اللَّهِ.

      ترجمہ:
      ہم سے اسماعیل بن ابی اویس نے بیان کیا ‘ کہا مجھ سے امام مالک نے بیان کیا ‘ ان سے ہشام بن عروہ نے ‘ ان سے ان کے باپ نے اور ان سے عائشہ ؓ نے کہ جب نبی کریم ﷺ بیمار پڑے تو آپ ﷺ کی بعض بیویوں (ام سلمہ ؓ اور ام حبیبہ ؓ) نے ایک گرجے کا ذکر کیا جسے انہوں نے حبشہ میں دیکھا تھا جس کا نام ماریہ تھا۔ ام سلمہ اور ام حبیبہ ؓ دونوں حبش کے ملک میں گئی تھیں۔ انہوں نے اس کی خوبصورتی اور اس میں رکھی ہوئی تصاویر کا بھی ذکر کیا۔ اس پر نبی کریم ﷺ نے سر مبارک اٹھا کر فرمایا کہ یہ وہ لوگ ہیں کہ جب ان میں کوئی صالح شخص مرجاتا تو اس کی قبر پر مسجد تعمیر کردیتے۔ پھر اس کی مورت اس میں رکھتے۔ اللہ کے نزدیک یہ لوگ ساری مخلوق میں برے ہیں۔

      Delete
    2. Jhut fela rha he ye apne hisab seh

      Delete
  6. Posting galat h badi behrbani h iss article ko parhne sy parhez kare sabhi sunniyon bhaiyon. Fee Amanillah

    ReplyDelete
  7. सही तर्जुमा ये है 👇
    Surah 35 Ayat No 22
    بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

    وَمَا يَسْتَوِي الْأَحْيَاءُ وَلَا الْأَمْوَاتُ ۚ إِنَّ اللَّهَ يُسْمِعُ مَنْ يَشَاءُ ۖ وَمَا أَنْتَ بِمُسْمِعٍ مَنْ فِي الْقُبُورِ
    और न जि़न्दे(मोमिनीन) और न मुरदे(काफ़िर)बराबर हो सकते और ख़ुदा जिसे चाहता है अच्छी तरह सुना (समझा) देता है और ( ऐ रसूल) जो (कुफ़्फार मुर्दो की तरह) क़बरो में है उन्हें तुम अपनी (बातें) नहीं समझा सकते हो।

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jahil Tu unhe nhi suna sakta wo tere ko sun sakte he Allah ke fazal seh

      Delete
  8. जिस शख़्स ने दीन में पहले पहल रखना डाला और लोगों को गुमराह किया या जो लोग दीन में नई नई बातें ईजाद करके अपने साथ लोगों को भी तबाह करते हैं उन पर अपने गुनाह के अलावा उन लोगों के गुनाह भी होंगे जो उनके पैरव बने इसी वजह से | इमाम जाफरे सादिक अ . फरमाते थे कि बिदअत करने वालों के पास भी न बैठो क्योंकि सोहबत का बुरा असर होता है।

    ReplyDelete
  9. galt hawale dy k galt baat bta rhy hain

    ReplyDelete