Saturday, 4 November 2017

Afwah Ka Kya Kare (What about Rumours)❓


Aksar Dekha Jata Hai Ke Log Choti-Choti Baato Ki Badi Afwaye(Rumour) Failaney Lag Jaatey Hai, Jo Ki Bohot Hi Galat Baat Hai. Chotey-Chotey Wakiyat, Chotey-Chotey Halaat Ko Lekar Itni Afwaye Failayi Jaati Hai Ke Uski Koi Inteha Nahi.
Aur Tamam Mu’ashre Me Bus Wahi Aag Failti Jaati Hai.

Aur Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Iss Se Manaa Kiya-

“Jab Koi Fasiq (Untrusted Person) Koi Khabar Lekar Aaye Tou Khoob Tehqeeq Kar Liya Karo Ke Khabar Kitni Sacchi Hai..”
📕(Surah 49 Al-Hujraat: Aayat-6)

Aur Baaz Logon Ko Dekha Gaya Ke Thodi Koi Baat Untak Pohoch Jaye Tou Bina Sochey Samjhey Muashre Me Faila Dete Hai, Aur Khabre Aisi Hi Failti Hai, Shaitan Ke Kamo Me Se Ek Kaam Hai.

“Afwaho Ko Failana”

Lihaja Hume Chahiye Ke Kisi Bhi Khabar Par Aitbaar Karne Se Pahle Usey Thik Se Jaanch Liya Kare, Aur Bina Tehqiq Kisi Baat Ko Aagey Pohchaney Se Pahle Soch Liya Karey Ke Ismey Kita Shar Hai Aur Kitna Khair.
Haa! Koi Baat Tasdik Shuda Lagey Usey Man’ne Me Koi Harz Nahi Lekin Fir Bhi Hum Yahi Kahenge Bila Tahkik Kisi Fasiq Ki Baat Par Aitbaar Na Karey.

Allah Ta’ala Hume Tamam Kism Ke Shaitani Fitno Se Bachney Ki Taufiq Dey !!
Aameen Ya Rabbal Aa'lameen
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment