Sunday 26 November 2017

📍 ALLAH TA'ALA SE YEH DUA NA KAREN KE ,AYE ALLAH JO KUCH TUU AKHIRAT MEIN AZAAB DENE WALA HAI , WOH DUNIYA MEIN HI DE DEN



Bismillahir Rahmanir Raheem

💐💐 Hazrat Ana's Radi Allahu Anhu se rivayat hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek musalman ki iyadat  ki jo bemari se chooze ki tarah ( yani bahut zaeef aur natawan ho gaya tha ) aap ne iss se farmaya tuu kuch dua kiya karta tha ya Allah Ta'ala se kuch sawal kiya karta tha, woh bola haan main yeh kaha karta tha,

Ya Allah jo kuch tuu akhirat mein azaab karne wala hai, woh duniya hi mein kar le

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, subhan Allah, tujhe itni taqat kahan hai keh Allah ka azabb utha sake , ( duniya mein) ,tuu ne yeh kyun nahi kaha,

اللَّهُمَّ آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ ‏"‏ ‏

Ya Allah mujh ko duniya mein bhi bhalai de aur akhirat me bhi bhalai de aur mujhe ko bacha ke jahnnam ke azaab se

phir ap Sallallahu Alaihi Wasallam ne iss ke liye Dua ki, Allah az'za wa jal'la se, Allah Ta'ala ne iss ko achcha kar dya.

📓 (Sahih Muslim, vol 6, hadith # 6835)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment