Saturday 4 November 2017

📍KGN📍



Yani ek aisa word jo Hindustan, Pakistan aur Bangladesh k ziyadatar log jante hain...

KGN ka pura maane hota hai..

K= Khawaza
G= Garib
N= Nawaz

Khawaza Moinuddin Chishty ko log Garib Nawaz k naam se jante hai....

Toh kya sahih me yeh Garib Nawaz hai...

📗Aaiye dekhen Quran me Allah ne kya Farmaya hai...

GARIB NAWAZ KOUN❓❓❓

(Garibon Aur Bandon Ko Nawazne Waala)

"Aye logo! Tum Allah kay mohtaj ho aur Allah be-niyaz khoobiyon wala hai."
📚(Surah Fatir 35:15)

Is aayet me Allah ne kaha hai , Hum sab Usske mohtaaj hain...
Toh kya Koi aur kisi ko nawaz sakta hai...❓❓
BILKUL NAHI...

PHIR ALLAH NE QURAN ME KAHA HAI...

DAATA KOUN❓❓❓
(Sab Kuchh Dene Waala)

"(Allah) Jise Chahta Hai Betiyan Deta Hai, Jise Chahta Hai Bete Deta Hai, Jise Chahta Hai Bete Betiyan Mila Jula Kar Deta Hai, Aur Jise Chahta Hai Baanj Rakh Deta Hai"
📚(Surah Shoora 42:49-50)

Iss aayet k baad bhi log khawaza k Dargah par jaate hai..

Aulad mangne k liye....

Yahi nahi waha k Pahar k uper se ek pedh (Tree) ka Phal (Fruit) le kar aate hai jinhe aulad nahi hota ussko chandni raat me khilane k liye...

Allah ne Quran me kaha hai...

Aur zinde aur murde barabar nahi ho sakte , Allah ta'ala jis ko chahata hai suna deta hai , Aur Aap un logo ko nahi suna sakte jo qabro me hai.
📚(Surah fatir ayat no.22)

Phir log Khawaza ko sunane k liye (Jo Qabr me hai) jee-jaan laga dete hai

📍Allah ka Elaan📍
Jin logo ne hamari Aayato ko jhutlaya aur un se taqabbur kiya un k liye Aasmaan k darwaze na khole jayenge aur woh log kabhi jannnat me na jayenge jab tak k oont soee k naake k Andar se na chala jaye aur hum mujrim logo ko aisi hi saza dete hain .
📚(Surah Al Aaraf aayat no. 40)

Yeh sab Shirk hai.

Yad Rakhe Shirk karne wala hamesha hamesha ke liye jahannum me rahega..


➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment