Saturday, 4 November 2017

📍GHAUS-E-AAZAM KISE KEHTE HAIN ❓❓


📗{Part-1}

"Ghaus" arabi zubaan ka lafz hai jiska matlab hai "madad". agar ise (verb) ke taur par istemal kiya jaye to iska matlab hoga "madad Karna" is tarah madad karne wale ko "ghaais" kaha jayega aur madad mangne wale ko "mustaghees". lekin agar "ghaus" ko bataur ism (noun) istemal kiya jaye to phir "ghaus" madadgaar ka matlab ada karega aur sheikh abdul qaadir jilani ko "ghaus" kehne wale iska yahi maf'hoom muraad lete hain. isi tarah lafz "aazam" bhi arabi zuban me bataur ism (noun) istemal hota hai jiska matlab hota hai "sabse bada" is tarah "ghaus-e-aazam" ka matlab hua "sabse bada madadgaar".

▶ Sabse bada madadgaar kaun hai❓

Yeh sawal agar urdu me aap ek aam musalman se karenge to woh jawab me yahi kahega ki "Allah Ta'ala" lekin jab aap arabi alfaaz ka istemal karte hue puchenge ki "Ghaus-e-Azam" kaun hai❓ to ab zuban se Allah ka naam nahi niklega. kyu❓ woh is wajah se kyunki aaj musalman ne jahaalat ki hade paar kar di hain.

Deen-E-Islam ne aqeeda-e-tauheed ke hawaale se yahi taaleem di hai ki Allah ke siwa aur koi madadgaar nahi, nafa wa nuqsan sirf Allah Ta'ala ke hi ikhtiyaar me hai, sirf wahi mushkil kusha wa haajat rawa hai, wahi khaaliq, raaziq hai. misaal ke taur par kuch aayaat pesh ki jaati hain-


📗{Part-2}

Deen-E-Islam ne aqeeda-e-tauheed ke hawaale se yahi taaleem di hai ki Allah ke siwa aur koi madadgaar nahi, nafa wa nuqsan sirf Allah Ta'ala ke hi ikhtiyaar me hai, sirf wahi mushkil kusha wa haajat rawa hai, wahi khaaliq, raaziq hai. misaal ke taur par kuch aayaat pesh ki jaati hain-

☑ "Aur madad to Allah Ta'ala hi ki taraf se hai jo ghalib wa hikmat wala hai"
📚(Surah aale imran 3, ayat-126)

☑"Aur woh apne liye Allah Ta'ala ke siwa koi madadgaar aur himayati nahi payenge"
📚(Surah Ahazaab 33, Ayat-18)

☑"Aur tumhare liye Allah ke siwa koi himaayati aur madadgaar nahi"
📚(Surah Baqrah 2, Ayat-107)

☑"Agar Allah tumhari madad kare to tum par koi ghaalib nahi a sakta, aur agar woh tumhara sath chhorh de to uske baad kaun hai jo tumhari madad kare? aur Allah hi par bharosa karna chaiye imaan walo ko"
📚(Surah Aale imran 3, Ayat-160)

☑"Aur Allah kaafi hai himaayat ke liye Aur Allah kaafi hai madad ke liye"
📚(Surah Nisa 4, Ayat-45)

☑"Aur tumhare liye Allah ke siwa koi wali (himaayati) aur madadgaar nahi"
📚(Surah Tauba 9, ayat-116)

In aayaat se yeh haqeeat wazeh ho jaati hai ki sirf Allah Ta'ala hi haqeeqi madadgaar, sabse bada madagaar yani "Ghaus-e-Azam" hai jabki deegar bahut si aayaat me na sirf ghairullah ko pukaarne balki use madadgaar samajhne ki bhi nafi ki gai hai aur aisa karne wale ko mushrik, zaalim kaha gaya hai, jaisa ki-


📗{Part-3}

☑"Allah ko chhorh kar kisi aur ko na pukaarna jo tumhe na koi fayeda pahuncha sake aur na koi nuqsan phir agar tumne aisa kiya to tum is haalat me zaalimo me se ho jaoge"
📚(Surah yoonus 10, Ayat-106)

☑"Aur usse badh kar gumrah kaun hoga? jo allah ke siwa unhe pukaarta hai jo qayaamat tak usko jawab nahi de sakte balki woh to unki pukaar se bhi be-khabar hain"
📚(Surah Ahqaaf 46, Ayat-5)

▶ Jo log "Sheikh Abdul Qadir jilani r.a." ko "ghaus-e-aazam" kehna shirk nahi samajhte zara woh ek baar unki zindagi ka muTa'ala karen. log unke naam par gadhe hue qisse kahaniyan to bayan karte hain lekin unka tareeqa unki taalimaat koi bayan nahi karta. kitna acha hota ki log nek buzurgon ko apna ideal banane ki koshish karte lekin logo ne unhe ideal nahi balki sirf ek *"Idol" bana diya hai.*

Allah hum sabko Shirk ko shirk samajhne aur usse bachne ki taufiq ata farmaye…

Aameen..!!

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

2 comments:

  1. Aap sahi info dete ho.. Pr refernce sahi se nahi dalte ho.. Surah ahzaab ki 18 ayat likhe ho pr darasal wo 17 ayat hai.reference ko recheck kr k dala kro..

    ReplyDelete