Tuesday 28 November 2017

📍Allah Ta’ala Sabr Karne Walon Ke Sath Hai.




🥀SABR

Duniya me jahan kabhi mukhtalif taqleefon, mashaqqaton se do’chaar hona padhta hai, kabhi khushiyan hoti hain to kabhi marsiya khwani bhi hoti hai.

” Jahan bajti hai shahnaayi, wahan matam bhi hote hain “

Is waadi me phool bhi hain, aur kaante bhi,

Jo is chand roza zindagi ke masaib ko sabr wa shukr ke saath bardaasht kar leta hai, wah allah ka muqarrab banda ban jaata hai,

Use Aakhirat me aisa maqaam wa martaba haasil hoga ise dekhkar duniya hairaan rah jaayegi.

🥀Allah Ta'ala Quran mai irshad Farmata hai :-”
Sabr karne waalon ko unki mazdoori be’hisaab milegi “
📚{Surah zumar Ayat 10}

Sabr ke badle unhe jannat aur reshmi libaas diye jaayenge”
📚{Surah daher, Aayet12}


Sabr karne waalon ki badi taareef ki gayi hai, banda saabir allah ka baada pyara aur mahboob hota hai,

Allah sabr karne waalon se muhabbat karta hai “
📚{Surah Al-Imram, Aayet 146}

Aye Imaan walo Sabar aur namaz se madad liya karo, beshak Allah Sabr karne walon ke saath hai.
📚{Surah Baqra, Aayet 153}

Khus’kismAt hain wah log jo museebat ki ghadi mein sabr karte hain aur rabb se ajar haasil karte rahte hain.

Museebat me sabr karne waalon ko aakhirat ke elawa, basa awqaat duniya me bhi uska ajar mil jaata hai.

ALLAH TA' ALA HAM SABKO SABR KARNE KE TAUFEEQ DE.
Ameen

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends  & to join  them with our group send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment