Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Sunday, 5 November 2017
Deen-e-Tawheed Ki Wasiyat Ambiya (Alahi Salam) Ki Sunnat.
Bismillah-Hirrahman-Nirrahim
Ambiya (Alahi Salam) Ke Bheje Jaane Ka Maqsad Allah Ka Paigham Uske Bando Tak Pahuchana Hota hai,
Aur Allah Rabbul Izzat Ne Roo-e-Zameen Par Kamm- o-besh 1 Lakh 24 Hazar Nabi aur Rasool Maboos Kiye Taaki Apne Hukm Ko Deen-e-Tawheed Ka Paigham Apne Bando Tak Pahuchaya Jaye.
Aur Tamam Tar Ambiyao ne Ta-Waqte-Hayat Apni Zimmedariyan Ba--khubi Nibhayi
Hatta Ke Haalat-e-Wafat Ke qareeb Hai phir Bhi Apni Naslo Ko Deen-e-Tawheed Ki Wasiyat Farma Rahe Hai.
Aisa hi Ek Wakya Allah Rabbul Izzat Ne Quran Me Bayan Kiya Aur Farmaya.
🚦Al-Quran: (Aye Yahood!!) Kya Tum Uss Wakt Maujud They Jab Yakub(Alaihi Salam) Par Maut Aa Khadi Hui Thi Uss Waqt Apne Beto Se Kaha Ki Mere Baad bhi Kis Ki Ibadat Karoge❓
(Tou) Kahne Lagey Hum Aapke Mabood Aur Aap Ke Baap-Dadao Ibrahim-Wa-Isamail Ke Mabood Wa Yakta Allah Ki Ibadat Karenge Aur Hum Uske Farmabardaar Hai.
📚{Surah Al-Baqrah(2); Ayat-133}
Tou beharhaal Iss Aayat-e-Mubarak Me Qayamat Tak Ke Liye Nashisht Hai Hum Tamam Ke Liye ke.
🕳Apne Duniya Me Bheje Jaane Ka Maqsad Samjhey.
🕳Aur Duniya me Jo Rishtey Hum Chorr kar Jaane wale Hai Unhe Khair Ki Wasiyat kare.
🕳Aur Khair Wasiyat se Muraad hum Sab Jantey Hai ke.
🕳Deen-e-Tawheed Ki Wasiyat Jo Hai Ambiya (Alahi Salam) Ki Sunnat.
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Labels:
Tawheed
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment