Saturday 4 November 2017

📍SHRIK KI TARDID MEIN KHUD APNI MISAAL.



📚{SURAH AL RUM: 28-29}

ضَرَبَ لَکُمۡ مَّثَلًا مِّنۡ اَنۡفُسِکُمۡ ؕ ہَلۡ لَّکُمۡ  مِّنۡ مَّا مَلَکَتۡ  اَیۡمَانُکُمۡ مِّنۡ شُرَکَآءَ  فِیۡ مَا رَزَقۡنٰکُمۡ فَاَنۡتُمۡ فِیۡہِ سَوَآءٌ  تَخَافُوۡنَہُمۡ کَخِیۡفَتِکُمۡ اَنۡفُسَکُمۡ ؕ کَذٰلِکَ نُفَصِّلُ  الۡاٰیٰتِ  لِقَوۡمٍ  یَّعۡقِلُوۡنَ ﴿۲۸﴾

بَلِ  اتَّبَعَ  الَّذِیۡنَ ظَلَمُوۡۤا اَہۡوَآءَہُمۡ بِغَیۡرِ  عِلۡمٍ ۚ فَمَنۡ  یَّہۡدِیۡ مَنۡ  اَضَلَّ  اللّٰہُ ؕ وَ  مَا لَہُمۡ  مِّنۡ  نّٰصِرِیۡنَ  ﴿۲۹﴾

Allah Ta'ala ne tumhare liye ek missal khud tumhari hi beyan farmayi jo kuch hum ne tumhen dey rakha hai kiya uss mein tumhare ghulamon mein se  bhi koi tumhara shareek hai? Kiya tum aur woh iss mein barabar darjay kay ho? Aur tum inn ka aisa khatra rakhtay ho jaisa khud apno ka, Hum aqal rakhney walon kay liye issi tarah khol khol ker aayaten biyan ker dete hain.

Bulkay baat yeh hai kay yeh zalim to baghair ilm ke khuwaish parasti ker rahey hain ussay kaun raah dikhaye jissay Allah Ta'ala raah say hata dey unn ka ek bhi madadgaar nahi.

👉🏻Yeh Missal shrik ki na maquliat ko wajeh karne ke liye beyan ki gyi hai keh jab ek insan apne maal mein apne ghulam ko barabar ka sharik nahi samjhta to Allah ki malkiat mein Allah ki makhluq ko sharik karna kaise tassaur karta hai yaqeenan Khaliq aur makhluq ko yaksan samjhna badi namaqool baat hai.

Aqal mand insan Allah ki ayat se bahr pur faizyab hota hai aur Allah ki Tawheed ka gunn gata hai jabke beaqal insan khawish parasti mein mubtala ho kar khud ko zalim bana leta hai aur hedayat Ilahi se mahroom rehta hai.

👉 Tum jab khadim aur makhdoom ko barabar nahi samjhte  to Allah jo Khaliq hai tum ne uss ke makhluq ko Allah ke barabar kaise samjh liya❓

Kya Khaliq aur makhluq barabar ho sakte hain❓

Kya Abid aur Mabood barbar ho sakte hain ❓

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment