Sunday 5 November 2017

SHIRK KYA HAI❓


AUR MUSHRIK KA ANJAM

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم

Allah subhanahu ta'ala farmate hain

وما خلقت الجن والإنس الا ليعبدون

Aur Main ne Jinn o Insan ko sirf meri Ibadat ke liye paida kiya..

📚 (Sureh Az zariyat 56:51)

وَ مِنَ النَّاسِ مَنۡ یَّتَّخِذُ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ اَنۡدَادًا یُّحِبُّوۡنَہُمۡ کَحُبِّ اللّٰہِ ؕ وَ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَشَدُّ حُبًّا لِّلّٰہِ ؕوَ لَوۡ یَرَی الَّذِیۡنَ ظَلَمُوۡۤا اِذۡ یَرَوۡنَ الۡعَذَابَ ۙ اَنَّ الۡقُوَّۃَ لِلّٰہِ جَمِیۡعًا ۙ وَّ اَنَّ اللّٰہَ شَدِیۡدُ الۡعَذَابِ

Baaz log aisay bhi hain jo Allah kay shareek auron ko thehra ker uss say aisi mohabbat rakhtay hain jaisi mohabbat Allah say honi chahaiye aur eman walay Allah ki mohabbat mein boht sakht hotay hain kaash kay mushrik log jantay jab kay Allah kay azab ko dekh ker (jaan len gay) kay tamam taqat Allah hi ko hai aur Allah Taalaa sakht azab denay wala hai (to hergiz shirk na kertay).


📚  (2 : سورة البقرة 165)


Part -2

Bismillahir Rahmanir Raheem

اِنَّ اللّٰہَ لَا یَغۡفِرُ اَنۡ یُّشۡرَکَ بِہٖ وَ یَغۡفِرُ مَا دُوۡنَ ذٰلِکَ لِمَنۡ یَّشَآءُ ؕ وَ مَنۡ یُّشۡرِکۡ بِاللّٰہِ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلٰلًۢا بَعِیۡدًا ﴿۱۱۶﴾

Ussay Allah Taalaa qatan na bakshay ga kay uss kay sath shareek muqarrar kiya jaye haan shirk kay ilawa gunah jiss kay chahaye moaf farma deta hai aur Allah kay sath sharik kerney wala boht door ki gumrahi mein jaa para.

📚 (4 : سورة النساء 116)


اَلَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا وَ لَمۡ یَلۡبِسُوۡۤا اِیۡمَانَہُمۡ بِظُلۡمٍ اُولٰٓئِکَ لَہُمُ الۡاَمۡنُ وَ ہُمۡ مُّہۡتَدُوۡنَ ﴿٪۸۲﴾

Jo log eman rakhtay hain aur apney eman ko shirk kay sath makhloot nahi kertay aison hi kay liye aman hai aur wohi raah-e-raast per chal rahey hain.

📚 (6 : سورة الأنعام 82)

وَ یَعۡبُدُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ مَا لَا یَضُرُّہُمۡ وَ لَا یَنۡفَعُہُمۡ وَ یَقُوۡلُوۡنَ ہٰۤؤُلَآءِ شُفَعَآؤُنَا عِنۡدَ اللّٰہِ ؕ قُلۡ اَتُنَبِّـُٔوۡنَ اللّٰہَ بِمَا لَا یَعۡلَمُ فِی السَّمٰوٰتِ وَ لَا فِی الۡاَرۡضِ ؕ سُبۡحٰنَہٗ وَ تَعٰلٰی عَمَّا یُشۡرِکُوۡنَ ﴿۱۸﴾

Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko zarrar phoncha saken aur na unn ko nafa phoncha saken aur kehtay hain kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh pak aur bartar hai inn logon kay shirk say.

📚 (10 : سورة يونس 18)


وَ اِذَا مَسَّ النَّاسَ ضُرٌّ دَعَوۡا رَبَّہُمۡ
مُّنِیۡبِیۡنَ اِلَیۡہِ ثُمَّ اِذَاۤ اَذَاقَہُمۡ مِّنۡہُ رَحۡمَۃً اِذَا فَرِیۡقٌ مِّنۡہُمۡ بِرَبِّہِمۡ یُشۡرِکُوۡنَ ﴿ۙ33}

Logon ko jab kabhi koi museebat phonchti hai to apnay rab ki taraf (poori tarah) rujoo ho ker duyayen kertay hain phir jab woh apni taraf say rehmat ka maza chakhata hai to unn mein say aik jamat apnay rab kay sath shirk kerney lagti hai.

📚 (30 : سورة الروم 33)

PART-3

Bismillahir Rahmanir Raheem


{اِنۡ تَدۡعُوۡہُمۡ لَا یَسۡمَعُوۡا دُعَآءَکُمۡ ۚ وَ لَوۡ سَمِعُوۡا مَا اسۡتَجَابُوۡا لَکُمۡ ؕ وَ یَوۡمَ الۡقِیٰمَۃِ یَکۡفُرُوۡنَ بِشِرۡکِکُمۡ ؕ وَ لَا یُنَبِّئُکَ مِثۡلُ خَبِیۡرٍ۱۴}

Agar tum enhen pukaro to woh tumhari pukar suntay hi nahi aur agar (bil-farz) sunn bhi len to faryad rasi nahi keren gay bulkay qayamat kay din tumharay iss shirk ka saaf inkar ker jayen gay. Aap ko koi bhi haq-taalaa jaisa khabardaar khabren na deyga.

📚(35 : سورة فاطر 14)

🔻 Allah ki Ibadat me kisi ko Shareek karna... SHIRK hai.

🔻 Allah ke siwa kisi aur Màbood banana SHIRK hai..

🔻 Allah ki Sifaat me dusro ko shareek karna SHIRK hai

🔻 Allah ki Ibadat me dusro ko shareek karna..SHIRK hai..

🌹Har Ambiya o Rusul ne apni qaum ko Tawheed ki dawat di

يا قوم اعبدوا اللّٰه ما لكم من اله غيره

Aye meri Qaum ! Allah ki ibadat karo, us ke siwa tumhara koi mabood nhi..

📚(Surah Al A'raf 59,65)


PART-4

Bismillahir Rahmanir Raheem

Lekin kuch ke siwa sab ne Taghut ki ibadat kar ke Shirk ka irtekaab kiya

🔻 Dua.. Nazar O Niyaaz, Qurbani, Ghaibee Isteaanat (madad) talab karna bhi Ibadat ka juzz hai ..

🔻 Qabron, Mazaro aur Peer faqeero k samne Dua k liye Haath phailana.. Shirk hai..

🔻 Ghairullah ke naam se.. nazar manna, Niyaaz, karna Shirk hai..

🔻 Murda logo se Wali, peer, Buzurg, maan kar Dua mangna un se isteaanat karna madad talab karna Shirk hai.

🔹Ya Ali Madad..
🔹Ya Khwaja madad..
🔹Ya Ghaus paak madad..
🔹Ya RasoolAllah karam..

🔻Ye shirkiya Sadaaye hain..

Madad karne waali zaat Karam karne wali zaat musibat se nijat dene wali zaat Bimari se Shifaa dene wali zaat Rizq dene wali zaat Aazmaish me daal kar phir Sukoon Aata karne wali zaat Sirf Allah izza o jall ki hai..

🔻Allah k siwa ghairullah ke naam se janwar Qurban karna Nazar ke mannat ke !!
Ye Shirkiya amal hai Qurbani sirf Allah ke liye hai..

🔻Mannat manna falaan kaam hojaye to mai falaan baba ki dargah pe chadar chadaunga main Ajmer jaunga main Baghdaad jaunga main falaan wali ki mazar par niyaz karunga ye sab SHIRK hai...🚫

🔻Har tarah ki nazar mannat Allah hi ke liye hai har Dua ka qubool karne wala Allah hai har Pareshani se nijaat dene wala Allah hai kisi Peer, faqeer, Wali buzurg, ya Ambiya ke haath me nahi ke wo bando ki koi maang ko pura kar sake..

🌹Allah ko Shirk Gawara nahi Allah hi tamam Aalam ka Malik hai uski Badshahat tamam Aalamo pe hai..
Aur wo apni badshahat me kisi ki shirkat ko pasand nhi karta.. Bande par sirf Allah hi ka haq hai..

🔹Allah Chahe to har Gunah Maaf karde.. lekin.. SHIRK ki maafi nhi hai..

انه من يشرك بالله فقد حرم اللّٰه عليه الجنة وما واه النار وما للظلمين من أنصار

Beshak.. jo Allah k saath Shirk kare us par Allah ne Jannat Haram kardi, us ka thikana Jahannum hai aur Zalimo (mushriko) ka koi madadgaar nhi.

📚(Sureh Al Maida : 72)

🚫 Mushrik par Jannat haram hai..us ka thikana Jahannum hai..jo log is bharam me hai..k Falan peer..wali..buzurg..un ki shifaàt karenge..wo sirf batil khayal me hai..ku keh.

🌹Allah ne mazkura bala Ayat me wazeh kiya hai.. k Zalimo yani Mushriko ka koi Madadgaar nhi hai..

PART-5

Bismillahir Rahmanir Raheem


🚫Mushrik par Jannat haram hai..us ka thikana Jahannum hai..jo log is bharam me hai..k Falan peer..wali..buzurg..un ki shifaàt karenge..wo sirf batil khayal me hai..ku k
🌹Allah ne mazkura bala Ayat me wazeh kiya hai.. k Zalimo yani Mushriko ka koi Madadgaar nhi hai..
.
🚫Ek baatil khayal hai ye.. ke.. Mazaro.. Qabro me madfun.... Allah k paas Sifarishi honge.. is liye log.. Mazaro aur Astaano par jakar matha tekte hai.. Lekin.. unka ye Shirk.. un ka baatil khayal .. unko Jahannum se nijaat nhi desakta. jab tak k.. wo.. Shirk se Tauba na kare.. aur use dubara... na kare
🔹Allah k paas koi sifarishi nahi.. jab tak Allah ki ijazat na ho.

من ذالذي يشفع عنده باذنه

Kaun hai jo Allah ki marzi k baghair Shifaàt kare...

📚 (Sureh Al Baqara.. Ayat ul Kursi : 255)

🚫 Mushrik ka koi Amal Allah ko Qubool nhi Na Uski namaaz na Hajj hi us ko bacha sakenge..

أولئك حبطت أعمالهم و فى النار هُم خلدون

Yehi log hain in ke Aamal barbad hogaye aur ye log Aag me humesha rahenge..

📚 (sureh al Tauba : 17)

 🌹Allah taàla ne Shirk ki sangeeni ko wazeh karne k liye... 18 Jaleel ul Qadar... Ambiya alihimus salam ka zikr bhi is zuman me kiya hai..


➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment