Sunday, 12 November 2017

📍 SAB SE ZYADA AQALMAND INSAN KAUN❓❓



Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu farmate hain, main Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke sath tha keh ek ansari aap sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat me hazir hua,

Aap sallallahu Alaihi wasallam ko salam kiya aur arz kya,ya Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam, kaun sa momin afzal hai❓

Aap sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya ; Jis ke ikhalaq ummdah hon uss ne arz kiya, sab se zyada aqalmand kaun hai ❓

Aap sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya.

"Jo maut ko sab se zyada yaad karta ho aur uss ki achchai tarah tayyari karta ho wahi sab se zyada aqalmand hai".

📘 ( Sunan ibn e Majah : 4259)


🚫 Allah Ta'ala hum sab ko apni maut ko yaad karne aur uss ki  achchai se achchai tayyari karne ki taufeeq ata kare.
Aameen

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.


https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment