Saturday, 4 November 2017

📍Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Key Liye Lafz e Aaqa Ka Istemaal kerna.


Lafz e Aaqa Farsi Sey Aaya Hua Hai, Urdu Lughat (Dictionary) Key Hisaab Sey Iskey Kai Meaning Hain:Malik, Khudawand, Sahab, Khawind (Husband), Hakim, Afsar.

Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Key Liye “Sayyad” Ka Lafz Hadees Mein Aaya Hai:

عن أبي هريرة رضي الله عنه قال : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : أَنَا سَيِّدُ وَلَدِ آدَمَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ

Tarjumah:
Abu Hurairah Radhiallahu Anhu sey Riwayat Hai Unho Ne Kaha Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Mein Qayamat Key Din Bani Aadam Ka Sayyad (Sardar) Hun.
📚(Sahih Muslim: 2278)

Lafz e Sayyad Urdu Mein Sardar or Aaqa Key Maayne (Meaning) Aata Hai. Saath Hi Jab Lafz e Aaqa Ki Tareekh Dekhtey Hain To Pata Chalta Hai Ke Aaqa Asal Mein Turki Lafz Hai. Turki Sey Farsi or Fir Farsi Sey Urdu Mein Dakhil Hua. Uthmaaniyon Key Zamaney Mein Ye Lafz Aam Taur Sey Un Logon Key Darmiyan Istemaal Hua Karta Tha Jo Hakim, Hukumat or Fauj Sey Juda Hau Tha Ya’ani Aam Bol Chal Mein Nahi Tha.

Urdu Mein Is Lafz Ki Aamad (Arrival) Bhi Aisey Hi Ma’ano Mein Lagti Hai. Ye Lafz Sab Sey Pahley Urdu Mein Mirza Mohammad Rafee' Sauda Ki Kulliyat Mein 1780 Mein Milta Hai. Or Sauda Darbari Shayar (Poet) Tha. Pahley Nawab Bankash Key Darbar Sey Fir Nawab Suja' ud Dawla Key Darbar Sey or Aakhir Mein Nawab Asif ud Daula Key Darbar Sey Wabasta (Aligned) Raha. Nawab Asif ud Dawla Ney Unhen Malikush Shoraa (Shayron Ka Baadshah) Ka Khitab Diya Tha.

Is Sey Pata Chala Ki Urdu Mein Is Lafz Ki Aamad (Arrival) Bhi Khushamdi (Blandishments) Pas Manzar (Background) or Hukumati Nisbat Sey Hai.

Lehaja Sayyad Ka Istemaal Zada Behtar or sahih hai  Kiunki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Key Farman Mein Maujood Hai.

والله اعلم بالصواب

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment