Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Saturday, 4 November 2017
Gair Muslim (Non Muslim) Ko Salam ka Jawab kaise dein❓
Gair Muslim ko Salam karne aur salam ka jawab dene me iss masley per Olema ki alag alag raye(Opinion) hai. Aksariyat ka kahna hai Agar koi Sahi salam ke Alfaz se Salam kare to uska jawab me sirf Walaykumassalam se dey…
hame koi bhi salam kare to hame chahiye uska pura jawab de jaise . koi kahe Assalamualaikum ya Asslamualaikum wah rahmatullahi wa barkathu, Jawab me de WalaykumAssalam Wah Rahmatullahi Wa Barkathu. Ya kam se kam walaykumassalam kahe. Jiski Daleel hame
📚[Surah al-Nisa’ 4: ayaat -86] me milti hai.
Aur is ayaat ke taahet hame ye bhi pata chalta hai ki koi bhi chahe muslim ho ya gair muslim agar wo sahi salam ke alfaz se salam kare to uska jawab dena chahiye…
aur agar koi gair muslim sahi alfaz se salam kahe to unhe jawab me sirf Walaykumassalam kahkar jawab de wah rahmatullahi wa barkathu nahi kahna chahiye. ise imam bukhari R.H ne Al Adbul Mufrad me Ibe Abbas R.A ki riwayat naqal ki hai. aur ibn Abba farmatey hai yahoodi ho nasrani ho ya majoosi ho to uske salam ka jawab do kyuki allah ne quran me iska hukum diya hai.
(note: Agar wo salam ke sahi alfaz se salam kare tab jawab me walaykumassalam kahe).
KYU’KI:
Nabi S.A.W ki Hadith aur scholars ke view se pata chalta hai ke jews aur Christian ko salam ka jawab “Alaikum ya “walaykum” de kyuki wo yahoodi aur nasrani salam karte to ye kahte al-saam ‘alaykum (Death be upon you) Kahte hai. to hame chahiye ki ham jawab me ‘ ‘Alayk (upon you) kahe .’” According to another report say, ‘wa ‘alayk’ (and upon you) kahe . Iska matlab hota hai tum par bhi wahi ho jo tum ne kaha hai. .”
📚(Sahi Muslim 14/146)
Abu Huraira R.A se Riwayat hai ke Nabi S.A.W ne Farmaya apni janib se Jews/Christian ko salam na kahe.
📚(Narrated by Sahi Muslim, 2167)
Agar kabhi koi gair muslim hamein Galat alfaz me salam kare jaise al-saam ‘alaykum (death be upon you) to uss se bas itna keh dein WA ALAIKUM Yani tum par bhi wahi ho jo tum ne kaha hai.
📚(Narrated by Sahi al-Bukhaari, 5902 & Sahi Muslim, 2461)
Issi tarah kisi hindu ko namaste ya pranam ya jai shri raam wagaira bhi nahee keh sakte. Kyunki iss mein shirk bhi hai aur uss qaum ki mushabahat bhi hai mukhatibat mein. Haan albatta HI HELLO karne mein koi harz nahee hai.
aur Sheikh Uthaymeen r.a. to ye bhi kahte hai ki Good morning ya Good Afternoon kahne ki bhi ijazat hai jab tak ye salaam ke badal(alternate) na istemal kiya jaye.
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Labels:
Shirk
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment