Saturday, 4 November 2017

📍AGAR, MAGAR Aur KASH KE LIYE ISLAM MEIN KOI JAGAH NAHI.


Aey eman walo! Tum unn logon ki tarah na ho jana jinhon ney kufur kiya aur apney bhaiyon kay haq mein jabkay woh safar mein hon ya jihad mein hon kaha kay agar yeh humaray pass hotay to na martay aur na maaray jatay iss ki waja yeh thi kay iss khayal ko Allah Taalaa unn ki dili hasrat ka sabab bana dey Allah Taalaa jilata aur maarta hai aur Allah tumharay amal ko dekh raha hai.

📚(SURAH AL IMRAN :156)

Rasool Sal Allahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ...........)
Aur madad mang Allah se aur himat mat har aur jo tujh par koi musibaat aye to yun mat kah agar main aisa karta , aisa karta toh ye musibaat kahe ko aati (na aati), lekin yun kah Allah tala ne taqdeer mein aisa hi likha,tha , jo uss ne chaha kiya, Agar Magar karna shytaan ke liye raah kholna hai.

📚(Shaih Muslim : 6774)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment