Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Sunday, 5 November 2017
Tawheed Ki Haqeeqat..
🎐🕳Tawheed Ka Matlab Hai “Ek” Janna Aur “Ek” Man’na. Tawheed Se Muraad Allah Ko Uski Zaat, Sifaat, Uski Ibadat Aur Uske Huqooq Me Munfarid, Yekta Aur Bemisaal Maan’na.
Quraan-o-Hadees Ki Roushni Me Tawheed Ki 3 Kisme Hai.
🎐🕳1--Tawheed’e’ruboo’biat.
🎐🕳2--Tawheed Asma’wa’sifaat.
🎐🕳3--Tawheed Ulu’hiat Ya Tawheed Al’ebaada.
1--Tawheed’e’ruboo’biat : Se Muraad “Allah Ko Kayenat Ki Har Cheez Ka Khaliq, Malik, Raziq Aur Tamaam Umoor Ki Tadbeer Karnewala Man’na.”
👉🏻Al-Quraan: (Aye Nabi) Aap (In Mushrikeen Se) Poocho Ke Tumko Aasman Aur Zameen Me Rizq Koun Pahunchata Hai, Ya Tumhare Kaano Aur Aankho Ka Maalik Koun Hai Aur Jaandar Ko Bejaan Se Aur Bejaan Ko Jaandar Se Koun Nikalta Hai, Aur Tamaam Kaamo Ka Intezaam Koun Karta Hai, Wo Fauran Kahenge Ke (Ye Sub Kaam Karne Wala) Allah Hai. Tou Unsey Poocho Ke Phir Tum(Allah Se) Darte Kyon Nahi.
📚{Surah Yunus 10, Ayat No-31}
Iss Ayate Mubarak Se Pata Chala Mushrikeen-e-Makka Tawheed’e’ruboo’biat Ko Mantey They.
2--Tawheed Ulu’hiat : Se Muraad Ye Hai Ke Allah Hee Haqeeqi Aur Akela Mabood Hai. Yahi Wo Tawheed Hai Jisko Mushrikeen-e-Makka Samet Har Daur Ke Mushrik Maan’ne Se Inkaar Karte Rahe. Namaz, Roza, Haj, Qurbaani, Dua, Nazr Wa Niaz…
Sirf Allah Ke Liye Ho.”
👉🏻Al-Quraan: Aur (Aye Logon!) Tumhara Mabood Tou Bus Ek Hee Hai, Uske Alawa Koyi Ibadat Ke Layaq Nahi, Wo Bahut Raham Karnewala Aur Meharbaan Hai”.
📚{Suah Al-Baqrah 2, Ayat No -163}
3--Tawheed Asma’sifaat : Se Muraad Ye Hai Ke Allah Ke Unn Sab Asma Aur Sifaat Ka Iqraar Kiya Jaye Jin Se Allah Ne Quran Me Apne Aap Ko Mousuf Kiya Ya Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aahadees Me Unka Zikr Kiya. Aur Allah Ke Asma Aur Sifat Me Kisi Ko Shareek Na Kiya Jaye.
Jaise Allah Rabbul Izzat Ne Farmaya:
👉🏻Al-Quraan: Aye Iblees Tujhe Usey Sajda Karne Se Kis Cheez Ne Roka Jisey Mai Ne Khad Apni Qudrat Se Paida Kiya.
📚{Surah Sad 38, Ayat No -75}
👉🏻Al-Quraan: Rehmaan Arsh Par Qayim Hai.
📚{Surah Taha 20 : Ayat No-5}
👉🏻Al-Quraan: Allah Ne Musaa (Alaihay Salam) Se Qalaam Kiya.
📚{Surah An-Nisa 4, Ayat No -164}
👉🏻Mahfum-e-Hadees: Allah Aasmaani Duniya Par Nuzool Farmata Hai.
📚{Muslim:758}
Allah Ke Asma Wa Sifaat Ko Haqeeqat Par Mahmoul Karte Huye Kisi Qisam Ki Taweel, Kaifiat, Tateel Aur Tamseel Ke Bagair Emaan Lana Tawheed Asma Wa Sifaat Hai.
🎐🕳Deen-e-Isalm Ki Dawat Ka Sahi Tarika – Ye Hai Ke Dawat Ka Aagaz Tawheed Se Kiya Jaye. Logo Par Tawheed Aur Shirk Ke Fark Ko Wazey Kiya Jaye.
Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya “Pahli Cheez Jis Ki Taraf Logon Ko Dawat Di Jaye Wo Kalma-e-Shahadat Hona Chahiye.” Yaani Ye Ke Log Allah Hi Ko Ilaah Waahid Maaney.
📚{Bukhari:1395}
📚{Muslim:19}
PART - 1
🎐🕳Tawheed Ka Matlab Hai “Ek” Janna Aur “Ek” Man’na. Tawheed Se Muraad Allah Ko Uski Zaat, Sifaat, Uski Ibadat Aur Uske Huqooq Me Munfarid, Yekta Aur Bemisaal Maan’na.
Quraan-o-Hadees Ki Roushni Me Tawheed Ki 3 Kisme Hai.
🎐1-Tawheed’e’ruboo’biat.
🎐2-Tawheed Asma’wa’sifaat.
🎐3-Tawheed Ulu’hiat Ya Tawheed Al’ebaada.
1-Tawheed’e’ruboo’biat : Se Muraad “Allah Ko Kayenat Ki Har Cheez Ka Khaliq, Malik, Raziq Aur Tamaam Umoor Ki Tadbeer Karnewala Man’na.”
👉🏻Al-Quraan: (Aye Nabi) Aap (In Mushrikeen Se) Poocho Ke Tumko Aasman Aur Zameen Me Rizq Koun Pahunchata Hai, Ya Tumhare Kaano Aur Aankho Ka Maalik Koun Hai Aur Jaandar Ko Bejaan Se Aur Bejaan Ko Jaandar Se Koun Nikalta Hai, Aur Tamaam Kaamo Ka Intezaam Koun Karta Hai, Wo Fauran Kahenge Ke (Ye Sub Kaam Karne Wala) Allah Hai. Tou Unsey Poocho Ke Phir Tum(Allah Se) Darte Kyon Nahi.
📚{Surah Yunus 10, Ayat No-31}
Iss Ayate Mubarak Se Pata Chala Mushrikeen-e-Makka Tawheed’e’ruboo’biat Ko Mantey They.
PART - 2,
Tawheed Asma’wa’sifaat
🎐🕳Tawheed Ka Matlab Hai “Ek” Janna Aur “Ek” Man’na. Tawheed Se Muraad Allah Ko Uski Zaat, Sifaat, Uski Ibadat Aur Uske Huqooq Me Munfarid, Yekta Aur Bemisaal Maan’na.
2-Tawheed Ulu’hiat : Se Muraad Ye Hai Ke Allah Hee Haqeeqi Aur Akela Mabood Hai. Yahi Wo Tawheed Hai Jisko Mushrikeen-e-Makka Samet Har Daur Ke Mushrik Maan’ne Se Inkaar Karte Rahe. Namaz, Roza, Haj, Qurbaani, Dua, Nazr Wa Niaz…
Sirf Allah Ke Liye Ho.”
👉🏻Al-Quraan: Aur (Aye Logon!) Tumhara Mabood Tou Bus Ek Hee Hai, Uske Alawa Koyi Ibadat Ke Layaq Nahi, Wo Bahut Raham Karnewala Aur Meharbaan Hai”.
📚{Suah Al-Baqrah 2, Ayat No -163}
PART - 3
Tawheed Ulu’hiat Ya Tawheed Al’ebaada
3-Tawheed Asma’sifaat : Se Muraad Ye Hai Ke Allah Ke Unn Sab Asma Aur Sifaat Ka Iqraar Kiya Jaye Jin Se Allah Ne Quran Me Apne Aap Ko Mousuf Kiya Ya Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aahadees Me Unka Zikr Kiya. Aur Allah Ke Asma Aur Sifat Me Kisi Ko Shareek Na Kiya Jaye.
Jaise Allah Rabbul Izzat Ne Farmaya:
👉🏻Al-Quraan: Aye Iblees Tujhe Usey Sajda Karne Se Kis Cheez Ne Roka Jisey Mai Ne Khad Apni Qudrat Se Paida Kiya.
📚{Surah Sad 38, Ayat No -75}
👉🏻Al-Quraan: Rehmaan Arsh Par Qayim Hai.
📚{Surah Taha 20 : Ayat No-5}
👉🏻Al-Quraan: Allah Ne Musaa (Alaihay Salam) Se Qalaam Kiya.
📚{Surah An-Nisa 4, Ayat No -164}
👉🏻Mahfum-e-Hadees: Allah Aasmaani Duniya Par Nuzool Farmata Hai.
📚{Muslim:758}
Allah Ke Asma Wa Sifaat Ko Haqeeqat Par Mahmoul Karte Huye Kisi Qisam Ki Taweel, Kaifiat, Tateel Aur Tamseel Ke Bagair Emaan Lana Tawheed Asma Wa Sifaat Hai.
🎐🕳Deen-e-Isalm Ki Dawat Ka Sahi Tarika – Ye Hai Ke Dawat Ka Aagaz Tawheed Se Kiya Jaye. Logo Par Tawheed Aur Shirk Ke Fark Ko Wazey Kiya Jaye.
Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya “Pahli Cheez Jis Ki Taraf Logon Ko Dawat Di Jaye Wo Kalma-e-Shahadat Hona Chahiye.” Yaani Ye Ke Log Allah Hi Ko Ilaah Waahid Maaney.
📚{Bukhari:1395}
📚{Muslim:19}
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Labels:
Tawheed
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment