Sunday, 5 November 2017

SHIRK KYA HAI❓


AUR MUSHRIK KA ANJAM

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم

Allah subhanahu ta'ala farmate hain

وما خلقت الجن والإنس الا ليعبدون

Aur Main ne Jinn o Insan ko sirf meri Ibadat ke liye paida kiya..

📚 (Sureh Az zariyat 56:51)

وَ مِنَ النَّاسِ مَنۡ یَّتَّخِذُ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ اَنۡدَادًا یُّحِبُّوۡنَہُمۡ کَحُبِّ اللّٰہِ ؕ وَ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡۤا اَشَدُّ حُبًّا لِّلّٰہِ ؕوَ لَوۡ یَرَی الَّذِیۡنَ ظَلَمُوۡۤا اِذۡ یَرَوۡنَ الۡعَذَابَ ۙ اَنَّ الۡقُوَّۃَ لِلّٰہِ جَمِیۡعًا ۙ وَّ اَنَّ اللّٰہَ شَدِیۡدُ الۡعَذَابِ

Baaz log aisay bhi hain jo Allah kay shareek auron ko thehra ker uss say aisi mohabbat rakhtay hain jaisi mohabbat Allah say honi chahaiye aur eman walay Allah ki mohabbat mein boht sakht hotay hain kaash kay mushrik log jantay jab kay Allah kay azab ko dekh ker (jaan len gay) kay tamam taqat Allah hi ko hai aur Allah Taalaa sakht azab denay wala hai (to hergiz shirk na kertay).


📚  (2 : سورة البقرة 165)


Bismillahir Rahmanir Raheem

اِنَّ اللّٰہَ لَا یَغۡفِرُ اَنۡ یُّشۡرَکَ بِہٖ وَ یَغۡفِرُ مَا دُوۡنَ ذٰلِکَ لِمَنۡ یَّشَآءُ ؕ وَ مَنۡ یُّشۡرِکۡ بِاللّٰہِ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلٰلًۢا بَعِیۡدًا ﴿۱۱۶﴾

Ussay Allah Taalaa qatan na bakshay ga kay uss kay sath shareek muqarrar kiya jaye haan shirk kay ilawa gunah jiss kay chahaye moaf farma deta hai aur Allah kay sath sharik kerney wala boht door ki gumrahi mein jaa para.

📚 (4 : سورة النساء 116)


اَلَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا وَ لَمۡ یَلۡبِسُوۡۤا اِیۡمَانَہُمۡ بِظُلۡمٍ اُولٰٓئِکَ لَہُمُ الۡاَمۡنُ وَ ہُمۡ مُّہۡتَدُوۡنَ ﴿٪۸۲﴾

Jo log eman rakhtay hain aur apney eman ko shirk kay sath makhloot nahi kertay aison hi kay liye aman hai aur wohi raah-e-raast per chal rahey hain.

📚 (6 : سورة الأنعام 82)

وَ یَعۡبُدُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ مَا لَا یَضُرُّہُمۡ وَ لَا یَنۡفَعُہُمۡ وَ یَقُوۡلُوۡنَ ہٰۤؤُلَآءِ شُفَعَآؤُنَا عِنۡدَ اللّٰہِ ؕ قُلۡ اَتُنَبِّـُٔوۡنَ اللّٰہَ بِمَا لَا یَعۡلَمُ فِی السَّمٰوٰتِ وَ لَا فِی الۡاَرۡضِ ؕ سُبۡحٰنَہٗ وَ تَعٰلٰی عَمَّا یُشۡرِکُوۡنَ ﴿۱۸﴾

Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko zarrar phoncha saken aur na unn ko nafa phoncha saken aur kehtay hain kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh pak aur bartar hai inn logon kay shirk say.

📚 (10 : سورة يونس 18)


وَ اِذَا مَسَّ النَّاسَ ضُرٌّ دَعَوۡا رَبَّہُمۡ 
مُّنِیۡبِیۡنَ اِلَیۡہِ ثُمَّ اِذَاۤ اَذَاقَہُمۡ مِّنۡہُ رَحۡمَۃً اِذَا فَرِیۡقٌ مِّنۡہُمۡ بِرَبِّہِمۡ یُشۡرِکُوۡنَ ﴿ۙ33}

Logon ko jab kabhi koi museebat phonchti hai to apnay rab ki taraf (poori tarah) rujoo ho ker duyayen kertay hain phir jab woh apni taraf say rehmat ka maza chakhata hai to unn mein say aik jamat apnay rab kay sath shirk kerney lagti hai.

📚 (30 : سورة الروم 33)


➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment