Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Saturday, 4 November 2017
📍TAWEEZ AUR DHAGA KA SARIYATI HUQUM NAMA📍
📗{Part-1}
Taweez Ka Masla Thik Waisa Hai Jaisa Ke, Kisi Doctor Ne Kisi Ko Uske Beemari Ki Ilaz Ke Liye Presscription Par Kuch Dawayi Ka Naam Aur Usko Lene Ka Tareeqa Likh Diya, Aur Us Ne Us Tareeka Ko Chor Kar Us Presscription Ko Hi Gaale Par Latka Liya, Aur Ye Samajh Baitha Ke Aise Hi Main Shifa Paa Sakta Hun.
Aiye Ab Dekhte Hain Shariyat Kya Kehti Hai:
Al-Qur'an;
► Mere Liye Allah Hi Kafi Hai, Tawakkul Rakhne Wale Uske Upar Hi Tawakkul Rakhte Hai.
📚(Surah Az-Zumar, Ayat 38)
► Agar Allah Tumhein Koi Takleef Dena Chahe, To Usko Koi Hata Nahi Sakta, Aur Agar Wo Tumko Koi Khair Pahunchana Chahe, To Koi Bhi Uske Fazl Ko Hata Nahi Sakta.
📚(Surah Yunus, Ayat 107)
📗{Part-2}
Hadees-E-Mahfum;
● Hazrat-Abdullah - Bin-Aakim (r.t.a) farmate hain ke Rasool- Allah {Sall’Allahu ta’ala alaihi wa’sallam} ne farmaya: Jisne “Taweez” latkai usne Shirk kiya.
📚{Musnad-Ahmad/ Trmizi}
● Uqbah Bin Amir Al-Zuhani r.a. Se riwayet hai,ke Rasul ( ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ) ke pas ek 10 Logo ka kafila aya jisme se Aap 9 logon ka Bayat liya aur ek sakhs ka Bayat nahi liya. Sahaba Azmay'een ne puchha, Ya Allah ka Rasul ! Aap ne 9 logon ka Bayat liye lekin ek sakhs ka Bayat kiyun nahi liya? Nabi ( ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ) ne farmaya, Uske pas Taweez tha. Wo Sakhs foran us Taweez nikal ke faik diya, uske bad Nawi Usse Bayat liya aur farmaya," Jo Sakhs Taweez Latkata hai, Wo Shirk kiya."
📚{Musnade Ahmad : 1742}
● Hazrat-Imraan-B in-Hasen (r.t.a) se rawayat hai ke Nabi {sall’Allahu ta’ala alaihi wa’sallam} ne ek Aadmi ke Hanth (hand) me pital ka bana hua “Kada (chodi)” dekha to daryaft kiya: Ye kya hai? Isne jawab diya ke ye kamzori se bachne ke liye hai’ To aap {sall’Allahu ta’ala alaihiwa’sallam} ne farmaya: isse utaar kar phek do’ isliye ke ye kamzori hi me ezafa karega aur isse pahne hue teri“wafat (death) ” ho gai to tu kabhi kamyab nahi ho sakta”
📚{Musnade Ahmad}
● Huzaifa r.a. se riwayet hai, Wo ek sakhs ke hath pe ek dhaga dekha jo wo bukhar ke wazey se pehna tha. To Wo use kaat ke fek diya aur Quran ka ye ayat padha, "Zyadatar Log Allah Ke Upar Imaan Laney Ke Bawazood Mushrik Hai "
📚{Surah Yusuf 106}
📚{Ibnu Abu Hatim, Kitabut Tawheed,safa 38}
● Abdullah Ibne Mas'ud r.a. Ne Farmaya ke , Rasul Allah ( ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ) ne Farmaya, Taweez, jhar funk sab- hi shrk hai. Ye sunke Jainab r.a (Abdullah ka patni) ne kaha, aap ye kya keh rahe ho? Allah ka qasam mere ankh ki beemari ke waqt, main ek Yahudi ke pas jati thi aur wo mujhe Tabeez deti thi Aur usse meri beemari dur ho jati thi. Tab Abdullah ra ne bataya, wo to shaitani a'mal tha. Darasal Shaitan aapne hath se tumhare ankh ko daba ke rakhte the. Jab Yahudi Tumhe Taweez pahenne ko detey, tab shaitan wo kaam chhor deta. Beshak Tum wohi bayan karo jo Rasul Sws ne farmaya,
📗{Part-3}
"ALLAHUMMA RABBIN NAS AZABAL BA'ASA ASFI ANTA SHAFI LA SHAFI ILLA ANTA SHAFI LA-YUGADIRU SAKMA" TARJUMA:
"Ya Allah Sarey Insano Ka Rab, Taqleef Dur Karnewala,Shifa Ata Farma, Sirf Tu Hi Shifa Deneywala Hai, Tere Bagair Koyi Shifa Deneywala Nahi Hai ,Aisi Shifa Ata Kar Takey Beemari Ek Dum Hi Na Rahe.
📚{Abu Dawood, Vol 3, Hadees No 485}
● Hazrat-Abdullah –Bin Mas'ud (r.a) farmate hain ke Rasool-Allah {Sall’Allahu Ta’ala A'laihi Wa’sallam} ne farmaya Yaqinan "raqiyah 'Taweez" jo "Shohar biwi ke liye mohabbat paida karne ke khatir kisi chiz ko pahanna Shirk hai.
📚{Sahih ibn Habban : 6090}
● Hazrat-Aaqbah-B in-Aamir (r.t.a) farmate hain ke Rasool-Allah {sall’Allahu ta’ala alaihi wa’sallam} ne farmaya: jisne"Taweez" latkaya Allah iski hajat puri na kare.
📚{Abu-Dauood}
● Hazrat-Makeem (r.t.a) se marwe hai Nabi ( sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaya: Jisne kisi cheez (taweez,dhaga) ko latkaya to uska bharosa usi par kar diya jata hai.
📚{Tirmizi , vol 1 , Hadith# 2146}
● Hazrat-Abdullah –bin Mas'ud (r.t.a) ki biwi (wife) Zainab (r.t.a) ka biyaan hai ke “Abdullah- bin masood (r.t.a)” ne meri garden me ek “ Dhaga” dekha to pucha’ ye kya hai? Main ne kaha” ye dam kiya hua “Dhaga” mujhe diya gaya hai, To “Abdullah- bin masood (r.t.a)” ne wo “Dhaga” kaat dala aur farmaya: yaqinan “ abdullah ka khandaan shirk se door hai"
════════════
Allah Hume Haq Kahne, Sunne aur Samajh Ke Saath A'mal Ki Taufik De Laut Ke Aao Tawheed Aur Sunnah Ki Taraf Aur Aapni Keemti Imaan Ko Shirk Se Paak Rakho Kiyun Ki Shirk Ke Mauzudgi Me Koyi Bhi Amal Ma'abud e Barhaqq Qubul Nahi Karta "Aur Khuda Se Dua Karo Ke Mere Parwardigar Mujhe Bakhash De Aur Mujh Par Rehem Kar Aur Tu Sab Se Behtar Rehem Karne Wala Hai.
📚{Quran 23:118}
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Labels:
Shirk
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment