Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Saturday, 4 November 2017
Quran Majeed se Muhabbat..
Quran Majeed Allah Ta'ala ka kalam hai jo us ne apne Aakhiri Nabi ﷺ par Nazil farmaya hai.
Irshad e Bari Ta'ala hai.
وَهَٰذَا كِتَابٌ أَنزَلْنَاهُ مُبَارَكٌ فَاتَّبِعُوهُ وَاتَّقُوا لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ
Aur yeh Mubarak kitab hum ne utari hai, Iski ittabah Karo aur taqwah ikhtyar Karo taa ke tum par Raham kiya Jaye.
📚(Surah Al-An'aam, Ayat 155)
👉🏻Nabi ﷺ ne farmaya:
وَالْقُرْآنُ حُجَّةٌ لَكَ أَوْ عَلَيْكَ
Aur Quran (agar tu us par amal Kare toh) Teri dalil hai ya (agar tu uske mukhalif chale toh) Tere khilaf dalil hai.
📚(Sahih Muslim: 223)
👉🏻Allah Ta'ala farmata hai:
إِنَّ الَّذِينَ يَتْلُونَ كِتَابَ اللَّهِ وَأَقَامُوا الصَّلَاةَ وَأَنفَقُوا مِمَّا رَزَقْنَاهُمْ سِرًّا وَعَلَانِيَةً يَرْجُونَ تِجَارَةً لَّن تَبُورَ۞ لِيُوَفِّيَهُمْ أُجُورَهُمْ وَيَزِيدَهُم مِّن فَضْلِهِ ۚ إِنَّهُ غَفُورٌ شَكُورٌ
Jo log kitabullah ki tilawat kertay hain aur namaz ki pabandi rakhtay hain aur jo kuch hum ney unn ko ata farmaya hai uss mein say posheedah aur ailaniya kharch kertay hain woh aisi tijarat kay umeedwaar hain jo kabhi khasaray mein na hogi. Takay unn ko unki ujraten poori day aur unn ko apnay fazal say aur ziyadah day be-shak woh bada bakhsney wala qadardaan hai.
📚(Surah Fatir, Ayat 29-30)
👉🏻Nabi ﷺ ne farmaya:
مَنْ قَرَأَ حَرْفًا مِنْ كِتَابِ اللَّهِ فَلَهُ بِهِ حَسَنَةٌ، وَالْحَسَنَةُ بِعَشْرِ أَمْثَالِهَا، لَا أَقُولُ: الم حَرْفٌ، وَلَكِنْ أَلِفٌ حَرْفٌ، وَلَامٌ حَرْفٌ، وَمِيمٌ حَرْفٌ
Jo (Musalman) kitabullah se Ek hurf padhe use us ke badle mein ek neki milti hai. (Allah ke yahan) ek neki ka ajr dus guna hai. Main yeh nahi kehta ke (الم) ek harf hai. Balke Alif ek harf hai, laam (dusra) harf hai, Meem (teesra) harf hai.
📚(Sunan Tirmizi: 2910)
👉🏻Ek Riwayat mein aaya hai:
يُقَالُ - يَعْنِي لِصَاحِبِ الْقُرْآنِ-: اقْرَأْ وَارْتَقِ وَرَتِّلْ كَمَا كُنْتَ تُرَتِّلُ فِي الدُّنْيَا، فَإِنَّ مَنْزِلَتَكَ عِنْدَ آخِرِ آيَةٍ تَقْرَأُ بِهَا
Quran padhne wale se (Qayamat ke din) kaha Jayega ke padhta jaa aur chadhta jaa. Jiss Tarah Duniya mein thehar thehar kar tarteel se padhta Tha, usi Tarah tarteel se padh tera Thikana (jannat) woh buland maqam hai Jahan tu Aakhiri Ayat padhega.
📚(Sunan Tirmizi: 2914)
👇🏻👇🏻👇🏻
Quran se Muhabbat Karo Quran Majeed par amal Karo Quran ki khoob tilawat Karo. Quran Majeed ki tazeem Karo,
Ek riwayat mein aaya hai ke Nabi ﷺ ek takiye (sirhaane) bhaithe hue the ke (yahudio ki muharraf) taurat laayi gayi toh app takiye se Utar aaye aur us takkiye par taurat rakhwaye.
📚(Sunan Abi dawood 4449)
Quran Majeed toh humare pyare Rabb ka pyara kalam hai. Us ki har Lihaz se izzat o takreem karna hum par farz hai.
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment