Tuesday 21 November 2017

📍 IBADAT KI KAMMI SE EMAAN KA GHATNA




 Hazrat Abdullah bin umar Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya ke Aye Auraton ki jamat! tum Sadqa kiya karo. Aur ziyada se ziyada Astaghfaar kiya karo. Kyun-ke mai ne dekha ke jahannam mein ziyada tadaad mein auraten hain. Ek Aqalmand aurat boli ke ya RasoolAllah! ﷺ kiya sabab hai, auraten ziyada jahannam mein hain? Aap ﷺ ne farmaya ke woh la'nat bahuth karti hain aur khawind ki na-shukri karti hain. Maine Aqal wa deen mein kam hone ke bawajood Aqalmand shaks ko be Aqal karne wali tum se ziyada kisi ko nahi dekha. wo aurat boli ke ya RasoolAllah! ﷺ  hamari Aqal aur deen mein kya kami hai?  Aap ﷺ ne farmaya ke Aqal ki kami to usse maloom hoti hai ke do auraton ki gawahi ek mard ki gawahi ke barabar hai. Aur deen mein kami ye hai ke aurat kai din tak (har mahine mein haiz ki wajha se) Namaz nahi padhti aur Ramadhan mein (haiz ke dino mein) roze nahi rakhti.


 📘 (Sahih Muslim : vol 1, hadith # 241)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get Reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends
 & to join  them with our group
send their names and numbers to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment