Saturday, 4 November 2017

📍ACHE SULLOK KA SABSE JIYADA HAQDAR HAMARE MAA BAAP HAI:


 Allah Ta'ala Quran me apne hukuk ke fauran  baad Walidain  ke hukuk ki baat karte hai. Allah pak farmate hai.

Aur tumhare Rab ka farman hai ki uski ibadat me kisi ko shareek na karna aur jab tumhare maa baap mese ek ya dono budhi umr par pahoch jaye tp unhe uff tak na kahna aur na hi unse jhirag ke baat karna lekin unse husne sulul ke saath pesh aana aur ye dua karna ki ae hamare Rab hamare maa baap par rahem kar jis tarah bachpan me hamare maa baap ne ham par raham kiya tha.

📚{Quran,Surah 17,Aayat-23-24}

“Aur Allah Ta'ala ki ibadat karo aur uss kay sath kissi ko shareek na karo aur maa baap kay sath husn e sulook karo…”

📚{Surah Nisa, Ayat-36}


📍WALIDAIN KO HAR HAAL ME RAAZI RAKHNE KA HUKM📍

Hazrat Abdullah bin Amr r.a. kahte hai ki Rasool Allah (saw) ne farmaya: “Rabb ki raza walidain ki raza me hai aur Allah ka gussa walidain ke gusse me hai”

📚{Jami` at-Tirmidhi Hadith 1899}

📍WALIDAIN KI NA-FARMANI KABIRA GUNAH HAI:📍

Hazrat Abdulrahman bin Abi bakar (ra) apne baap se riwayat karte hai ki Rasool Allah (saw) ne farmaya:

“Kya mai tumhe kabira gunaho me se sab se bara gunah na batao?”Sahaba karam (ra) ne arz kiya: “Kyu nhi ya Rasool allah s.a.w.!  Zarur bataye “Rasool allah (saw) ne farmaya:  “Allah ke saath shirk karna aur walidain ki na -farmani karna.”
📚{Jami` at-Tirmidhi hadis 1550}

📍WALIDAIN KO NARAZ KARNE WALE KE LIYE RASOOL ALLAH S.A.W. NE BAD-DUA FARMAYI:📍

Hazrat Abu Huraira r.a. Nabi akram s.a.w. se riwayat karte hai ki Rasool allah s.a.w. ne irshad farmaya:

Us shakhs ki naak khak aalud ho ‘ ruswa aur zalil ho ‘ halakat ho jis ne walidain me se kisi 1 ko ya dono ko budhape me paya aur phir ((in ko raazi kar ke)) jannat me dakhil na ho saka. “

📚{ Sahih Muslim Hadith 6189}

📍WAALID JANNAT KA BAHETARIN DARWAZA HAI:📍

Hazrat Abu Darda r.a. ne Nabi akram s.a.w. ko farmate hue suna ke waalid jannat ke darwazo me se bich ka darwaza hai (jannat ka behtareen rasta) toh yeh tumhare upar hai ki iska fayda uthao ya nahi.

📚{Sunan Ibn Majah Hadith 3663}
📚{Jami` at-Tirmidhi Hadith 1900}

📍JANNAT MAA KE QADMO TALE HAI:📍

Hazrat  Mu’aawiyah ibn Jaahimah se riwayat hai Ke woh Nabi akram s.a.w. ki khidmat me haazir hui aur arz kiya:

“Ya Rasool allah saw! Mai ne jihad ka irada kiya hai aur aap se mashwara lene ke liye haazi hua ho?”  Aap s.a.w. ne irshad farmaya: “Kya teri walida zinda hai?“ Is ne arz kiya  “Haa ! “ Aap (saw) ne irshad farmaya: “Phir un ki khidmat karo, ‘ jannat unke qadmo ke niche hai”.

📚{Musnad Ahmad Hadith 15110}

Aur isi paigam ko Sunan Nasai me bhi dohraya gaya hai..

Allah ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм farmate hai “JANNAT MAA KE KADMO KE NICHE HAI”

📚{Sunan Nasai, Hadith 3106}

📍BAAP KE MUKABLE ME MAA 3 DARJE ZAYAD HUSNE SULUK KI MUSTAHEQ HAI:📍

Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke 1 aadmi Rasool allah (saw) ki khidmat me haazir hua aur arz kiya:
“Ya Rasool allah s.a.w. mere husne suluk ka sab se zyada haq daar koan hai❓“

Aap ((saw)) ne irshad farmaya:
“Teri Maa“

Is ne dobara arz kiya :
“Phir kaun❓”

Aap ((saw)) ne irshad farmaya:
“Teri Maa”

Is ne tisri baar arz kiya:
“Phir kaun❓”

Aap ((saw)) ne irshad farmaya :
“Teri Maa“

Isne chawthi baar pucha :
“Phir kaun❓”

Aap ((saw)) ne farmaya :
“Tera Baap”.

📚{Sahih Bukhari Hadith 5971}

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment