Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Saturday, 4 November 2017
📍Sunnat Kise Kahte Hain❓
Sunnat ka lughwi ma'ana tareeqa ya raasta,
Hadees:
Hazrat abu Juhaifa (Radhiallahu Anhu) kahte hain k rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:
👇🏻👇🏻👇🏻
Jis shakhs ne achcha tareeqa jaari kiya aur uske bad uspar amal kiya to jaari karne wale ko uska sawab bhi milega aur us achche tareeqe par chalne wale doosre logo'n ke amal ka bhi sawab milega jabke amal karne wale logo'n ke apne sawab me se koi kami nahi ki jayegi aur jis shakhs ne koi bura tareeqa jaari kiya uske ba'ad amal kiya gaya to uspar apna gunah bhi hoga aur un logo'n ka gunah bhi jinho'n ne is par amal kiya jabke bure tareeqe par amal karne wale logo'n ke apne gunaho'n se koi kami nahi ki jayegi.
📚{Sunan Ibn Majah-207}
Shar'ie istelah me sunnat ka matlab Rasool Allah Sallellahu alaihi wasallam ka tareeqa hai,
📍To chaliye dekhte hain ki sunnat kise kahte hain:
Sunnat ki teen (3) qisme'n hain:
(1) sunnate qawli (yani jise nabi kareem "Sallellahu alaihi wasallam" ne kaha ho)
(2) sunnate fe'li ( yani nabi kareem "Sallellahu alaihi wasallam" ne kiya ho)
(3) sunnate taqreeri ( yani nabi kareem "Sallellahu alaihi wasallam" ki mawjoodgi me kiya gaya ho aur aap ne us par koi nakeer nahi ki hai)
Aiye tafseel ki taraf:
(1) Sunnate Qawli:
Rasool Allah Sallellahu alaihi wasallam ki zabani irshad e mubarak "sunnate qawli" kehlata hai iski misal darje zeel hai,
Hadees:
Aap ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: Tum apne khane par jama hokar bismillah padh kar kahaya karo, Allah ki taraf se is khane me tumhare liye barkat daal di jayegyy.
📚{Sunan Abi Dawud 3764}
Rasool ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya “Jab tum me se koi khana khane lagee too bismillah padh lee agar shuru me bismillah padhni yaad na rahe too khane ke dauraan jab bhi yaad aaye too ye padhle:bismillahi fii awwalihi wa akhirihi.
{Tirmizi 1858}
(2) Sunnate Fe'li:
Rasool Allah Sallellahu alaihi wasallam ke amal e mubarak ko "sunnate fe'li kahte hain, jiski misal darje zeel hai.
Hadees:
Abu Huraira r.a. se riwayat hai ki RasoolALlah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Hamesha namaz ki Shururat Takbeer (Allahu akbar) kah kar karte the.
📚{Sahih al-Bukhari, 755}
(3) Sunnate Taqreeri:
Rasool e akram (Sallellahu alaihi wasallam) ki mawjoodgi me jo kaam kiya gaya ho aur AAP (Sallellahu alaihi wasallam) ne khamoshi akhtiyar farmayi ho ya uska izhaar pasndeedgi kiya ho use "sunnate taqreeri" kahte hain jiski misal darje zeel hai.
Hadees:
Hazrat qais bin amar (Radhiallahu Anhu) kahte hain k nabi kareem (Sallellahu alaihi wasallam) ne aik Admi ko subah ki namaz ke bad 2 rakate padhte dekha to farmaya "subah ki namaz to 2 rak'at hai" as aadmi ne jawab diya" main ne farz namaz se pahle ki 2 rakate nahi padhi thi, lihaza ab padhi hai. Rasool Allah (Sallellahu alaihi wasallam) ye jawab sun kar khamoosh hogaye. (yani k ijazat dedi).
{Sunan Ibn Majah: 1154}
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment