Thursday 2 November 2017

📍SHIRK


Shirk Ka Logvi Maani Hota Hai Sharik Karna, Aur Sharai Aetbar Se Shareek Ka Matlab Hota Hai, Ke Allah Ta’ala Ki “Zaat” Ya Phir “Sifat” Me Kisi Ko Sharik Karna.

Hadees:
“Subse Badaa Gunaah Ye Hai Ke Allah Ke Saat Kisi Ko Shareek Karey Halan Ke Uss(Allah)ne Tujhe Paida Kiya.”

📚{Bukhari 4477, Muslim 86}

Al-Quraan:
Allah Ke Saath Shirk Na Karna. Beshak Shirk Badaa Bahri Zulm Hai.

📚{Surah Luqman(31): Ayat-13}

Lihaza Shirk Se Bachey Aur Tawheed Parast Baney.


Aye emaan walon ! Allah aur uss ke Rasool se aage na barho , aur Allah se darte raha karo , yaqeenan Allah Ta'ala sunne wala , janne wala hai.

📚{Surah al Hujurat 49, ayat 1}

"Allah aur uss ke Rasool se aage na barho " , iss ka matlab hai ke deen ke mam'le mein apne taur par koi faislah na karo , na apni samjh aur raye ko tarjeeh do , balke Allah aur Rasoollullah sallallahu Alaihi Wasallam ki ita'at karo , apni taraf se deen mein aezafa ya biddat ki iejad , Allah aur Rasool Allah sallallahu Alaihi Wasallam se aage barhne ki napaak jasarat hai , jo kisi bhi saheb e emaan ke layq nahi.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment