Thursday 2 November 2017

📍Shirk Karne Wale Ko Uske Nek Aamal Faida Nahi Denge


Nek Aamal (Jaise Sadqa, Khairat, Namaz, Roza) Aqeede Shirk Ki Moujoodgi Me Bekaar Ho Jate Hai Aur Allah Ke Yaha Qabil Qabool Nahi Rehte.

Chunache Allah Ne 18 Jaleel-ul-Qadar Ambiya(Alaihay Salam) Ka Naam Leney Ke Baad Farmaya.

Al-Quraan:
“Aur Agar Unn Logon Ne Shirk Kiya Hota Tou Unkey Bhi Sub Aamal Zaya Ho Jatey”.

📚{Surah Al-An’am(6): Ayat-88}

Shirk Ke Nuksaan

Shirk Jaise Kabira Gunaah Ke Anzam Ke Barey Me Quraan-e-Kareem Me Farmay Ki.

Al-Quraan:
“Jisney Allah Ke Sath Kisi Ko Shareek Tehraya, Allah Ne Uspar Jannat Haraam Kar Diya. Uska Thikhana Jahannum Hai Aur Zalimo Ka Koyi Madadgar Na Hoga.”

📚{Surah Al-Maida(5): Ayat-72}

Hadees:
“Jo Koyi Iss Haal Me Marey Ke Wo Allah Ke Siwa Kisi Aur Ko Pukaarta Ho Tou Wo Jahannum Me Dakhil Hoga.”

📚{Bukhari 4497}
📚{Muslim 92}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment