Saturday 4 November 2017

📍Museebat Aur Bechaini Ke Waqt Ki Kuch Duayen:


(1)
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ، اللَّهُمَّ أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي دِينِي وَدُنْيَايَ وَأَهْلِي وَمَالِي، اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَاتِي، وَآمِنْ رَوْعَاتِي، وَاحْفَظْنِي مِنْ بَيْنِ يَدَيَّ، وَمِنْ خَلْفِي، وَعَنْ يَمِينِي، وَعَنْ شِمَالِي، وَمِنْ فَوْقِي، وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أُغْتَالَ مِنْ تَحْتِي​

Tarjuma:
Ya Allah! Beshak mein tujh se duniya aur akhirat mein maafi aur aafiyat ka sawal karta hon. Ya Allah! beshak mein tujh se maafi ka aur deen o duniya mein ahl o ayaal aur maal asbaab mein aafiyat ka sawal karta hon. Ya Allah! Merey aibon par parda daal dey aur meri pareshaniyon se mujhey aman day. Aur meri hifazat farma merey samnay se, mere peechay se, meri dayen taraf se, meri bayen taraf se aur mere upar se, aur mein is baat se bhi teri panah mein aata hun ke mujhey neechay se achanak pakar liya jaye.
📚(Ibn e Majah: 3871)

(2) Hazrat Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ke, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam pareshaani ki halat mein ye kalimat dohratey they:

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ، وَرَبُّ الأَرْضِ، وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ​

Tarjuma:
Sahib e azmat aur burdbaar ke siwa koi ma’bood e barhaq nahi, Allah ke siwa koi ma’bood e barhaq nahi jo arsh e azeem ka Rab hai, Allah ke siwa koi mabood e barhaq nahi jo aasmaano aur zameenon ka Rab hai arsh e kareem ka Rab hai.
📚(Sahih Bukhari: 6346)
📚(Sahih Muslim: 2730)

(3) Hazrat Abu Bakrah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya: Preshaan haal ke liye yeh dua hai:

اللَّهُمَّ رَحْمَتَكَ أَرْجُو فَلاَ تَكِلْنِي إِلَى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ​

Tarjuma:
Aye Allah! Main teri hi rehmat ki ummeed karta hun, tu mujhey lamha bhar (palak jhapakney tak) ke liye bhi mere nafs ke hawaaley na kar, merey saarey mu’aamlaat durust farma de, tere alawah koi sachcha ma’bood nahi hai.
📚(Abu Dawud: 5090)

(4)
ﻟَﺎ ﺇِﻟَﻪَ ﺇِﻟَّﺎ ﺃَﻧْﺖَ ﺳُﺒْﺤَﺎﻧَﻚَ ﺇِﻧِّﻲ ﻛُﻨْﺖُ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻈَّﺎﻟِﻤِﻴﻦ​

Tarjuma:
Tere alawah koi sachcha ma’bood nahi, tu paak hai, yaqeenan mai hi zaalimon mein se hun.
📚(Tirmidhi: 3505)


(5)
اللَّهُ اللَّهُ رَبِّي لاَ أُشْرِكُ بِهِ شَيْئً​

Tarjuma:
Allah Allah mera Rab hai, main uskey saath kisi chiz ko bhi shareek nahi karta.
📚(Ibn e Majah: 3882)


(6) Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Agar kisi bande ko koi museebat pahunchey aur wo ye alfaaz kahey to Allah Taala usey uski museebat ka ajr deta hai aur usey uska behtar badal ata kar farmata hai.

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا​


Tarjuma:
Yaqeenan hum Allah hi ki milkiyat hain aur usi ki taraf laut kar jaaney waley hain, Aye Allah! mujhey meri is museebat ka ajr dey aur mujhey iska behtar badal ata farma.
📚(sahih Muslim: 918)


(7)
حَسْبُنَا اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ​

Tarjuma:
Humarey liye Allah kaafi hai aur wo bohot achcha kaar saaz hai.
📚(Sahih Bukhari,4563)

Allah Taala har maa ko is dauran sabr e jameel ki quwwat dey. Aur aulaad ko walidain ke sath husn e suluk ki taufeeq ata farma.
Aameen.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment