Saturday 4 November 2017

La ilaaha illah anta subhaanaka padhne ki fazeelat❓


1000 ya 100000 baar «لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ» padhne ka suboot nahi milta hai. Lehaaza ta'daad muta'ayyan kar ke padhna sahih nahi.

Albatta «لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ» padhne ke mutalliq do riwayaat maujood hain.
Saad Radhiallahu Anhu kehte hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:

👇🏻👇🏻👇🏻

دَعْوَةُ ذِي النُّونِ - إِذْ دَعَا، وَهُوَ فِي بَطْنِ الْحُوتِ - : لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ ؛ فَإِنَّهُ لَمْ يَدْعُ بِهَا رَجُلٌ مُسْلِمٌ فِي شَيْءٍ قَطُّ إِلَّا اسْتَجَابَ اللَّهُ لَهُ​

Tarjumah:
“Zunnoon (Younus Alaihissalam) ki dua jo unhon ne machli ke pet mein rahne ke dauraan ki thi woh yeh thi:

لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ​

(Tere siwa koi ma’bood e barhaq nahi, to paak hai, main hi zaalim (khatakaar) hun).

Kiunki yeh aisi dua hai ke jab bhi koi musalmaan shakhs ise padh kar dua karega to Allah Taala us ki dua qabool farmaayega”.
📚(Tirmizi: 3505)


Mazeed ek doosri Hadees mein hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam farmaate hain:

👇🏻👇🏻👇🏻
ألا أخبركم بشيء إذا نزل برجل منكم كرب أو بلاء من أمر الدنيا دعا به ففرج عنه؟ دعاء ذي النون: لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ​

Tarjumah:
Main tumhein woh cheez na bataaon ke agar kisi par duniya ki koi museebat ya azmaish aa jaaye to woh use padhe to use us se nijaat mil jaayegi? Woh Younus Alaihissalam ki dua hai
«لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ»

(Sahih ul Jami': 2605)

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment