Saturday 4 November 2017

📍 Allah Ta'ala ko jhootlana aur Usse gali dena ( nauzubillah)

🥀 HADITH E QUDSI

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne kaha , Allah Ta'ala farmata hai keh;

👇👇👇👇

 Mujhe ibn e Adam ne jhutlaya halanke uss ke liye munasib nahi tha,Mujhe uss ne gali di halanke iss ke liye yeh bhi munasib nahi tha, Mujhe jhutlana yeh hai keh kahta hai keh Mai dobarah nahi paida karun ga halanke Mere liye dobarah paida karna iss ke pehli martabah paida karne se zyada muskhil nahi, uss ka Mujhe gali dena yeh hai keh kahta hai keh Allah ne apna beta banaya hai halanke Mai ek Hun, Mai Be-neyaz Hun, na Meri koi awlad hai aur na Mai kisi ka awlad Hun, Aur na koi Mere barabar ka hai."


📘 (Sahih Bukhari : 4974 & 4975)

🚫 yeh Hadith surah ikhlaas ki tafseeer hai jis mein Tawheed e khalis ka beyan hai aur aise logon ki  ( mushrikin ki ) tardid hai Jo Allah ke sath ghairon ko sharik banate hain jaise ki baaz do khwdaon ke qayl hain , baaz Allah ke liye awlad saabit karte hain, baaz log peeron , faqiron , anbiya aur awlia ko ibadat mein Allah le sharik banate hain. Allah ne iss surah mein unn sab ki tardid ki hai aur tawheed e khalis par nishandahi farmayi hai.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment