Saturday, 4 November 2017

📍Munafiqo Ki Pehchan.


Hadees:
Abdullah Bin Umar (Razi’Allahu Anhu) Bayan Karte Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki–

“Chaar Aadatey Aesi Hai Ki, Jinkey Andar Bhi Wo Hongi Wo Munafiq Hoga. Unn Chaar Me Se Agar Koi Ek Paayi Jaayegi Tou Uske Andar Nifaaq Ki Ek Aadat Hogi,

Yahan Tak Ki Usey Chhor De”.

1-Jab Boley Tou Jhoot Boley.
2-Waada Karey Tou Poora Na Karey.
3-Lade-Jhagde Tou Gaali Bakey.
4-Muaahida(Deal) Kare Tou Dhoka De.

📚{Sahih Al-Bukhari, Hadees No.2459}

📍SABAQ:
Munafiq Wo Log Hotey Hai Jin Ke Dil Emaan Se Khaali Hai, Lekin Emaan Waalon Ko Dhoka Dene Ke Liye Muhh Se (Zubaani Taur Par) Emaan Ka Dikhaawa Karte Hai.

Aise Logon Ke Baarey Me 📗Quraan Farmata Hai Ke –

“Baaz kehte hain ke hum Allah par aur qayamat ke din par emaan rakhte hai, lekin dar haqiqat wo emaan wale nahi hai, wo Allah Ta’ala aur emaan walon ko dhoka dene ki koshish karte hain, lekin darasal wo kudh apne aap hi ko dhoka dey rahe hain magar samahjte nahi”

📚{Al Baqarah, Aayet 9,8}

Kyuni Allah Aalimul Gaib Hai, Wo Har Kism Ke Ilm Ka Maalik Hai, Wo Apne Mukhlooq Ki Har Kism Ki Niyato Se Bakhabar(Known) Hai,
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment