Saturday, 4 November 2017

📍Hazrat Khaalid bin Walid radiallahu ta’ala anhu : Kon Hain Aur Unka Kiya Martaba Hai.


Laqab : Saif Allah al-Maslool (the Drawn Sword of Allah)

Aap ki wiladat 592 A.D. me Makka me hui.

Aap ke walid ka naam Walid ibn Mughira aur walida ka naam Lubabah as-Saghirah hai.
Aap Quraish ke Banu Makhzum kabeele se ta’alluq rakhte thhe.

Aap jawani se hi pehalwan aur bahadur the aur har qism ka hathiyar chalane me maahir the.
Jange Badr ke mauqe par aap ke bhai Walid ibn Walid ko musalmano ne qaid kar liya. Aap apne bhai Hasham ibn Walid ke saath use riha karane ke liye Madina gaye.

📚Jab Walid ko riha karake Makka ki taraf ja rahe the ke tab safar ke dauran Walid wapas Madina chale gaye aur musalaman ho gaye.

Is ke baad 3 Hijri (625 A.D.) me Jange Uhud me aap Musalmano ke muqabale me Makka ke kaafiro ke saath saamil hue.

Aur Gazwa e khandaq me bhi aap kaafiro ke saath shaamil hue.

Sulaih Hudaybiyyah ke baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne aap ke bhai Walid se farmaya ‘Khaalid jaisa aqlmand aur samajhdar shakhs zyada waqt tak islam se door nahi reh sakta.’
Walid ne aap ko khat ke zariye Khaalid ko Islam apnane ke liye kaha.
Islam apnane se pehle aap ne apne dost Ikrimah ibn Abi Jahl ko ye baat batai to usne aap ko roka. Jab Abu Sufyan ibn Harb ne aap ko darate hue bure anjam ke liye kaha to Ikrimah ibn Abi-Jahl ne use kaha ‘Tumhe ise is tarah dhamkana nahi chahiye, Khaalid ko ikhtiyar hai ke wo apni marzi se apna mazhab chune.’
Aakhir me aap 8 Hijri (629 A.D.) me Madina jaane ke liye rawana hue. Raaste me Amr ibn Aas and Usman ibn Talha se mulaqat hui. Wo dono bhi islam apnane ke liye Madina ja rahe the. Teeno Madina pahunche aur Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki baargah me pahunchkar musalman hue.

3 mahine baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne ek shakhs ko safeer banakar Shaam ke Ghassani haakim ki jaanib Islam ki daawat ka paigam dene ke liye ek khat dekar bheja. Jab wo Mu’tah se guzar raha tha tab waha ke Shurahbil ibn Amr naam ke Ghassani sardar ne use pakadkar qatl kar diya.

Ye khabar sunkar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Zaid ibn Harisah ki raahbari me musalmano ka lashkar bheja aur farmaya ‘Agar Zaid ibn Harisah shaheed ho jaaye to Jaafar ibn Abi Taalib ko lashkar ka sardar banaya jaaye aur unkio shahadat ke baad Abdullah ibn Rawahah ko sardar banaya jaaye aur is ke baad haalat dekhkar sab musalman lashkar ka saalar tay karen.’

Is tarah Jange Mu’tah me in 3 ashaba ki shahadat ke baad musalmano ne Khaalid ibn Walid ko lashkar ka sardar banaya.

Jang me Byzantine saltanat aur Ghassani Arab ka 200000 ka lashkar tha aur saamne 3000 musalman the. Jang me musalmano ka zyada nuqsan hone ka andesha tha. Magar aap ne tarkeeb ki aur islami lashkar ko peechhe hatne ka hukm diya.

Phir raat ko us lashkar me se kuchh logo ko thoda door jaakar thehrne ke liye kaha aur farmaya ke subh ko jang shuru hone se pehle wo log aakar lashkar me saamil ho, jis se dushmano ko ye lage ke musalmano ki madad ke liye dusre sipahiyo kagiroh aaya hai.

Is tarah dushmano ka hosla todkar aap ne jang jaari rakhi. Aap bahut bahaduri se lade aur is jang me aap ke hath men 9 talwaren toti.

Phir raat me lashkar ko Madina ki taraf wapas lautne ke liye kaha. Dushmano ke lashakr ne darkar pichha nahi kiya. Is tarah musalmano ko halaak hone se bacha liya.
Is jang ke baad Huzoor sallallahu alaihi wasallamne aap ko ‘Saif Allāh Allah ki talwar’ ka laqab ata farmaya
Is ke baad aap ne Jange Fateh Makka, Gazwa e Hunain, Gazwa e Ta'if aur Gazwa e Tabouk me hissa liya.
8 Hijri me Maahe Ramzan me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne ‘Uzza’ daivi ka but todne ke liye Nakhla bheja.
Aur Banu Jadhimah aur 9 Hijri me Dumatul Jandal ki jang me aap ko lashkar ka sardar banakar bheja.

10 Hijri me aap ko ‘Wadd’ ka but todne ke liye Dumatul Jandal bheja.

10 Hijri me Hajjatul wida ke mauqe par aap ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke Ghesu mubarak ko tabarruk ke taur par jama kiya. Aur iski barkat se aap hamesha fatehyab hote the.

11 Hijri (632 A.D.) me Hazrate Abu Baqr Siddiq radiallahu ta’ala anhu ke zamane me aap ko Baaghiyo aur Kazzab (Nabuwwat ka jhuta dawa karne wale) ke khilaf jang me islami lashkar ke sardar bankar Tulaiha bin Khuwailid ko haraya aur Musaylimah bin Habeeb ko qatl kiya.

Is ke baad aap ne bahut saari jang me fateh haasil karke Iran aur Shaam tak islami saltanat failai.
13 Hijri (634 A.D.) me Hazrate Abu Baqr Siddiq radiallahu ta’ala anhu ke wisal ke baad Hazarte Umar Farooq radiallahu ta’ala anhu ne aap ko hatakar Abu Ubaidah ibn al-Jarrah radiallahu ta’ala anhu ko islami lashkar ke sardar banaya. Hazarte Umar Farooq radiallahu ta’ala anhu ne kaha ke ‘Main musalmano ki galat fehmi door karke ye batana chahta hu ke muslamano ko fateh sirf ALLAH ta’ala ata farmata hai, kisi ek shakhs ki wajah se fateh nahi milti.
Is ke baad aap ne jange Fahl, jange Emesa, janeg Damascus, jange Yarmouk aur dusri jango me hissa liya.

Aap 100 se zyada jang me saamil hue aur aap ke jism ka koi bhi hissa jakhm ke nishan se baqi nahitha.

Ek baar aap ne islami lashkar ke saath nasraniyo kle shehar par hamla kiya. Nasraniyo ne shehar ka qila band kar diya aur andar se muqabala karte rahe. Aap ne us par ghera dale rakha.

Kuchh mahino baad jab qile ke andar khane peene ka saaman khatm hone laga tab nasraniyo ne mashwara karke ek paadri ko islami lashkar ke sardar se milne ke liye bheja. Wo paadri darwaza kholkar safed kapda hilata hua bahar aaya.

Jab wo islami lashkar ke sardar Hazrat Khaalid bin Walid radiallahu ta’ala anhu ke paas pahuncha aur khade hokar saari baat batai. Aap ne kaha ‘Theek hai, agar tum sab log islam apnate ho to ham tumhe kuchh nuqsan nahi karenge.’
Itne me aap ne dekha ke us paadri ne apna pichhe rakha hai aur us me koi chiz chhupa raha hai. Aap ne us se puchha ‘Tum apne haath me kya chiz chhupa rahe ho?’ Us ne kaha ‘Mere haath me ek dibbe me zeher hai. Agar aap hamari baat nahio maante aur ham par sakhti karte to main qile me jaakar sab ko ye baat batane se pehle ye zeher kha lete.’ Aap ne kaha ‘Tumhe yaqeen hai ke ye zeher khane se tum mar jaaoge.’ Us ne kaha‘Haan, Ye bahut hi qaatil zeher hai.’
Aap ne kaha ‘Agar main ye zeher kha lu to tum sab islam me dakhil ho jaaoge?’ Ye kehkar aap neuske haath me se zeher lekar kha liya. Paadri samet tamam dekhne walo ko ye heart hui ki qaatil zeher khane ke baad bhi aap par uska asar nahi dikh raha tha.

Us paadri ne puchha ‘Ye kaise hua❓

Aap ne farmaya ‘Mere aaqa Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne mujhe khane se pehle padhneki dua sikhai hai. Use padh lene se uski Barakat se koi bhi chiz nuqsan nahi kar sakti.’

Ye sunkar wo paadri aap ki ijazat lekar qile me gaya aur sab ko ye pura waqya sunaya. Jise sunneke baad sab nasraniyo ne foran islam qubool kar liya.

Aap ke 3 bete aur 1 beti hain.

(1) Sulaiman
(2) Abdur Rehman
(3) Muhajir.

******

Aap ka wisal 29 Jamaadil awwal 20 Hijri (642 A.D.) me hua.

Aap ka mazaar Homs (Shaam /Syria) me hai.

Allah pak humen bhi apne aslaaf jaisi bahadri himmat aur kirdaar ata farmaye.

Aameen.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment