Saturday 4 November 2017

📍AURAT KE SATH RAHAN SAHEN KA BAYAN​


Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu kehte hai ke Rasool Allah sallalahu alaihi wassallam ne farmaya:

👇🏻👇🏻👇🏻
مَلْعُونٌ مَنْ أَتَى امْرَأَتَهُ فِي دُبُرِهَا​

Woh mal'oon hai jis ne aurat se us ki dubur (pusht/back) mein jima Kiya.
📚(Abu dawod 2162)

Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ke Rasool Allah sallalahu alaihi wassallam ne farmaya:

👇🏻👇🏻👇🏻
لَا يَنْظُرُ اللَّهُ إِلَى رَجُلٍ، ‏‏‏‏‏‏أَتَى رَجُلًا أَوِ امْرَأَةً فِي الدُّبُرِ​

ALLAH Ta’ala aise aadmi ki taraf nazar e rahmat nahi farmayege jis ne kisi mard ya aurat ki pusht mein jima Kiya
📚(Tirmidhi 1165)

Faham-ul-hadith: In ahadees se malum hota hai ke aurat ki pusht mein jima Karna aur mard se qaum-e-loot ka amal Karna haram hai. Jumhoor Ulama, Imam Ibn e hazm, Sheikh Abdullah Bassam, Sheikh Abdul Aziz bin Baaz, aur Saudi Arabia mustaqil fatwa committee ne yahi fatwa diya hai ke aurat ke pusht mein jima Karna haram aur kabirah gunah hai kiunki kisi kabirah gunah par hi lanat hoti hai.

Taham Ahle ilm ne is baat par bhi ittafaq e Raye Zahir Kiya hai ke aadmi apni biwi ki pusht ki Janib se ya kisi bhi tariqe se sirf uski qubul mein jima Kar sakta hai.

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment