Thursday 2 November 2017

📍ALLAH TA'ALA SE KYA HUA EK IQRAR


وَ اِذۡ اَخَذَ رَبُّکَ مِنۡۢ بَنِیۡۤ اٰدَمَ مِنۡ ظُہُوۡرِہِمۡ ذُرِّیَّتَہُمۡ وَ اَشۡہَدَہُمۡ عَلٰۤی اَنۡفُسِہِمۡ ۚ اَلَسۡتُ بِرَبِّکُمۡ ؕ قَالُوۡا بَلٰیۚ ۛ  شَہِدۡنَا ۚ ۛ اَنۡ تَقُوۡلُوۡا یَوۡمَ  الۡقِیٰمَۃِ  اِنَّا کُنَّا عَنۡ  ہٰذَا غٰفِلِیۡنَ ﴿۱۷۲﴾ۙ

اَوۡ تَقُوۡلُوۡۤا  اِنَّمَاۤ  اَشۡرَکَ  اٰبَآؤُنَا مِنۡ  قَبۡلُ وَ کُنَّا ذُرِّیَّۃً مِّنۡۢ بَعۡدِہِمۡ ۚ اَفَتُہۡلِکُنَا بِمَا فَعَلَ الۡمُبۡطِلُوۡنَ ﴿۱۷۳﴾

وَ کَذٰلِکَ نُفَصِّلُ الۡاٰیٰتِ وَ لَعَلَّہُمۡ یَرۡجِعُوۡنَ ﴿۱۷۴﴾

Aur jab aap ke Rabb ne aulad-e-aadam ki pusht se unn ki aulad ko nikala aur unn se unn hi Ke mutalliq iqrar liya ke kiya Main tumhara Rabb nahi hun❓

Sab ney jawab diya kyun nahi!

 Hum sab gawah bante hain. Ta'ke tum log Qayamat ke roz yun na kaho ke hum to iss se mehaz be khabar the, Ya yun kaho ke pehle shirk to humarae badon ne kiya aur hum unn ke baad unn ki nasal mein huye so kiya inn ghalat raah walon kay fail per  Tu hum ko halakat mein daal dey ga❓

Hum issi tarah aayaat ko saaf saaf biyan kerte hain aur ta'ke woh baaz ajayen.

📚{SURAH Al A'RAF 7: 172-174}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment