Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !! The purpose of this BLOG is to share Quran and Authentic Hadeeth and call people to the path of Allah with wisdom and good advice." And try to remove Shirk & Biddah from the Muslim ummah, to remove all the misconceptions about Islam & to remind people the purpose of their existence. In Shaa Allah !! To get the reward in Akhirah, share this with your families and friends And for join with our group,send ur name and number to +91- 8507806751
Saturday, 4 November 2017
📍Kunde Ke Niyaz ki Haqeeqat …
22 Rajjab Ko Barre Sageer (Hindustan, Pakistan Aur Bangladesh) Me Ek Tyohaar Manaya Jaata Hai .. Jisey Hum “Kunde Ki Niyaj” Ya “Kunde Ki Eid” Se Jante Hai..
❌Darhakikat Kunde Ki Eid Ki Shariyat Me Koi Asal Ya Buniyad Nahi Hai…
Iss Talluk Se Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) Ka Wakiya Bayan Kiya Jata Hai Ke Inko Mansub Ya Inhi Ke Isale Sawab Ke Liye Nazro Niyaz Is Din Kiya Jata Hai..
Aayiye Ab Gour Karte Hai Iski Haqeeqat Kya Hai ❓
Kya Wakay Me Shairiyate Islmiya Me Kundey Ki Kisi Eid Ka Tazkira Paya Jata Hai ❓
Kunde Ki Eid Ke Pichey Asal Waqiya.
22 Rajjab Ko Ek Shakhs Ka Inteqal Hota Hai …
Abdullah Ibne Abbas (Razi’Allahu Anhu) Khana Kha Rahe They ,.. Utney Me Unki Ghulaam/Baandi Khabar Lekar Aati Hai..
Wo Khabar Sunkar Aap Khana Chorrkar Khadey Ho Jatey Hai …
Khabar Thi Ke Sahabi-e-Rasool Ameer Muawiya (Razi’Allahu Anhu) Ka Inteqal Ho Gaya 22 Rajjab Ko …
Ameer Muawiya (Razi’Allahu Anhu) Wo Shakhsiyat Thi Jinhone Munafiqo Aur Khwarijiyo Par Lohe Ka Hath Rakha Tha ,.. Aapke Daure Hukumat Me Ye Log Bebas Ho Gaye They,.. Inki Har Munafiqana Harkato Ko Ameer Muawiya (Razi’Allahu Anhu) Ne Naqam Kar Diya Tha,..
Lekin Jaise Hi Ameer Muawiya Ka Inteqal Hua Inn Munafiqo Aur Kharijiyo Me Khushi Ki Lehar Daud Padti,.. Ke Ab Dushman Marr Gaya Humara.
Aur Khushi Tou Manani Hai..
Ab Khushi Manaye Tou Kaise Manaye❓
Hukumat Ko Pata Chal Jayega Agar Khushiya Manyenge Tou ..
Jaahir Si Baat Hai Ke – Wakt Ka Khalifa Inteqal Kar Gaya Aur Koi Khushiya Manaye Tou Uski Munafiqat Me Koi Shuba Hi Na Rahegi..
Lihaja Tay Hua Ke–
Khushiya Khufiya Manayi Jayegi,..
Ahle Munafiq aur Khwarij Apne Apne Logon Ko Bulao,…
Khamoshi Se Saman Lao,..
Parde Ki Aad Me Wahi Banao,..
Aam Bartano Ke Bajaye Mitty ke Bartano(Kundo) me Mithaiya Banao,… Wahi Khaawo,.. Wahi Hath Dho Lo,.. Bacha Kucha Khana Wahi Dafna Do,.. Taaki Bahar Musalmano Ko Pata Na Chale Ke Andar Kis Cheez Ki Khushiya Manayi Ja Rahi Hai …
•» Ab Ye Chalan Kaafi Zamane Tak Kwhariji Chalatey Rahe..
Uske Baad Ab Sunniyo Me Kaisa Dala Jaye Iss Amal Ko,..
Tou Naya Akida Diya Gaya Ke Ye Niyaz Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) Ki Hai,..
Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) Beharhaal Ek Tabeyeen Me Se Hai,..
» Ab Iss Niyaz Ko Aam Awaam Kaise Manaye❓
Kyunki Aam Awam Hanfi Hoti Hai ,..
Tou Kaha Gaya Ke Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) Imam Abu Hanifa (Rahmatullahi Alaihi) Ke Ustaad Hai .. Jabki Unka Milna Aur Sun’na Sabit Nahi Hai …
Aur Akide Diye Gaye Ke Jo Ye Niyaz Karta Hai Uska Beda Paar Ho Jata ,.. Wo Kamiyab Ho Jata Hai ,.. Uski Nayya Paar Ho Jaati hai ,.. Aur India Ke Kisi Lakkad-Haare Ka Qissa Bhi Bayaan Kiya Jaata Hai Jo Man-Ghadat Hai….
Fir Bus Lag Gaye Humare Musalman Bhai Kundey Bharne ,…
Reference –
📚Jawahirul Manaqib’ By Mustafa
📚Tareekh-e-Islam (Shah Moeen-Ud-Din Nadvi) Safa Number 371
📚Tareekh Ibn Khaldun Vol-2, Safa-60
•» Ab Sawal ye Aaya ke Chalo Agar Maan Bhi Le Ke (Nauzubillah) Allah ke Alawa Bhi Kisi Ki Nazro Niyaz Karna Jayaz Hai Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Baad Ummat me Sabse Uncha Maqaam Tou Sahaba Ka hai ,..
•» Unkey Naam Se Tou Kabhi Hum Koi Niyaj Koi Eid Nahi Manatey ,..
Naahi Unko Mansub Karne Wala Koi Deen Manane ka Shariyat ne Hume Hukm Diya ,..
•» Tou fir Tabeyeen Me Se Kisi Imaam Ke Liye Khas Taur Par Nazro Niyaz Karna Ye Kaha Ka Insaf Hua ,… Gour Karne Wali Baat Hai Mere Bhaiyo ,… Koi Aam Baat Nahi ,…
Yaad Rakhiye Iss Kunde Ki Eid Ke Akide Ka Shariyat-e-Islamiya Me Koi Wajud Hi Nahi ,..
Iss Kundey Ke Eid Ki Shariyat me Na Koi Fazilat Paayi Jaati Hai Na Koi Akqaam, Hatta Ke Iss Eid Ka Koi Arbi Naam Bhi Paya Nahi Jata..
Sahabi-e-Rasool ke Inteqaal par Munafiqo ne Khushiya manayi Yahi Iski Hakiqat Hai ,..
📚Kundey Ki Eid Ek Biddat–
Ye Eid Shariyat me Ek Biddat Hai ,. Aur Biddat Ke Talluk Se Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Sakht Wayeed Ki Apne Ummat Ko.. Ke Biddat Mat Karna Iss Deen me…
Aur Biddatiyo Ka Kya Azam Hoga Iske Talluk Se Surah Ghasiya Ki Ayat No. 3 Aur 4 Me Allah Ta’ala Farmata Hai –
Al-Quraan: “Aamilatun Nasiba , Tasla Naran Hamiya” –
📚(Surah Ghasiya Ayat 3-4)
» Jiska Tarjuma Hota Hai – “Ke Kuch Log Qayamat Ke Roz Tum Dekhoge Ke Amal Kar-Kar Ke Thakey Hue Aayenge, Lekin Hukm Hoga Utha Kar Jahannum Me Fenk Do Inhey”.
Isliye Ke Wo Amal Wo Akida Rasool’Allah Ke Deen Se sabit na Tha…
Tou Lihaja Hume Chahiye ke Aise Mu’amlo me Tehkik Kare ,… Aur Aise Amal se Bachey Jo Na Shareeyat se Sabit ho aur Na Hi Sahaba ki Zindagi Me Kabhi Paya Gaya Ho ,…
# Allah Hume Haq Sun’ne Samjhne Ki Taufiq Dey..
Aamenn Ya Rabbal A’lameen !!!
➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to
🖍📩+91- 8507806751
📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.
https://adilsaba.blogspot.com/
Labels:
Rajab Ke Mahiney
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment