Thursday 2 November 2017

📍Jab Kisi Qabar Ki Ibadat Ho Tou Usko Boot-Parasti Kaha Jayega


Hadees:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“Aye Allah! Meri Qabar Ko Boot Na Banana Jiski Ibadat Ki Jayey. Allah Ka Uss Qaum Par Sakht Gazab Nazil Hota Hai Jo Apne Nabiyo Ki Qabaro Ko Ibadat-Gaah Bana Letey Hai”.

📚{Muwatta Imaam Malik 9:88}

Hadees:
Aisha (RaziAllahu Anhu) Farmati Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aakhri Waqt Me Farmaya:

“Yahood Wa Nasara Par Allah Ki Laanat Ho, Unhone Apne Ambiya Ki Qabro Ko Sajda Gaah Bana Liya”. Agar Iss Baat Ka Khouf Na Hota Ke (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Qabar Ko Bhi Sajda Gaah Bana Liya Jayega Tou Aap Ko Band Hijrey Me Dafan Na Kiya Jata Aur Aap Ki Bhi Qabar Khuli Hoti.

📚{Bukhari.1390, Muslim.529}

Muashre Me Shirk Failne Ki Ek Aham Waja Ye Hai Ke Shaitan Awliya Allah Se Muhabbat Ko Aad Banakar Guloo Karwata Hai.
Qaum Nooh Ko Dekhiye.

Hadees:
“Wadd, Suwa, Ghutaif, Yauq, Nasr Noah Ki Qaum Ke Swaleheen The Jin Ki Logon Ne Baadme Parashtish Shuru Kardi”.

📚{Bukhari 6:44}

Al-Quraan:
“Aur Unhone Kaha Ke Tum Apne Maboodo Ko Hargiz Na Cho’dna Aur Wadd, Suwa, Ghutaif, Yauq, Nasr Ko Kabhi Na Cho’dna”.

📚{Surah Nooh(71): Ayat-23}

La’ilaaha’illAllah Muhammadur RasoolAllah Padh Ne Wala Bhi Mushrik Ho Sakta Hai❓

Hadees:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: “Tum Yaqeenan Apne Se Pehli Ummato Ki Pairwi Karoge, Aur Pehli Ummato Se Aapki Muraad Yahood Wa Nasara Hai”.

📚{Bukhari.3456, Muslim.2669}

“Kya Tu Ne Unhe Nahi Dekha Jinhe Kitab Ka Kuch Hissa Mila Hai Ke Wo Boot Aur Tagoot Par Emaan Laate Hai”.

📚{Surah An-Nisa(4): Ayat-51}

Hadees:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaha: “Qayamat Uss Waqt Tak Qayam Na Hogi Jab Tak Meri Ummat Ki Ek Jamaat Mushriko Se Na Jaa Miley Aur Meri Ummat Ke Bahut Se Log Boot Parasti Na Karey”.

📚{Tirmizi 2219}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment