Saturday 4 November 2017

📍Hamal Ke Dauran Wazeefey Ka Hukm


Sawaal:
Hamarey yahan kuch aurtein hamal ke dauran surah Yusuf aur surah Maryam wagairah ki tilawat karti hain, mera sawal ye hai ke kya shariyat mein hamal ke dauraan kisi wazeefey ka suboot milta hai❓

Jawaab:
Hamal mukammal taur se takleef ka naam hai, hamila aurat ko is halat me bohot zada mushkilaat aur pareshaaniyon ka saamna karna padta hai, khaas taur se starting ke teen mahino mein. Jaisey jaisey hamal badhta hai museebat mein izafa hota chala jata hai, aur jab zachgi ka aalam hota hai toh us aalam ki takleef ka mardon ko taswwur nhi ho sakta. Iska andaza wahi kar sakti hai jo is halat se guzarti hai.

Quraan ne Iska zikr is tarha kiya hai:

وَوَصَّيْنَا الْإِنْسَانَ بِوَالِدَيْهِ حَمَلَتْهُ أُمُّهُ وَهْنًا عَلَىٰ وَهْنٍ وَفِصَالُهُ فِي عَامَيْنِ أَنِ اشْكُرْ لِي وَلِوَالِدَيْكَ إِلَيَّ الْمَصِيرُ​

Tarjuma:
Hum ne insaan ko uskey maa baap ke mutalliq naseehat ki hai, uski maa ne dukh par dukh utha ke usey hamal me rakha.
📚(Surah Luqman, Ayat No:14)

Doosri jagah is takleef ka zikr is andaaz me hai:

وَوَصَّيْنَا الْإِنْسَانَ بِوَالِدَيْهِ إِحْسَانًا ۖ حَمَلَتْهُ أُمُّهُ كُرْهًا وَوَضَعَتْهُ كُرْهًا ۖ وَحَمْلُهُ وَفِصَالُهُ ثَلَاثُونَ شَهْرًا ۚ

Tarjuma:
Aur hum ney insaan ko apne maa baap ke saath husn e sulook karney ka hukm diya hai, uski maa ne takleef jhel kar usey pet me rakha aur takleef bardasht kar ke usey jana. Uskey hamal ka aur doodh chudaney ka zamana tees (30) mahiney ka hai.
📚(Surah Al-Ahqaaf, Ayat No:15)

Qurani Aayaat se wazeh hota hai ke hamal takleef-dar-takleef ka naam hai. Isi wajah se maa ka darja uncha ho jata hai.

Yahan sawal ye paida hota hai ke Islam ne Itni takleef'deh halat e hamal ke liye koi makhsoos dua ya koi makhsoos amal bataya hai❓

Toh Iska jawab ye hai ke Islam mein takleef ke waqt ke liye kai duayen maujood hain,

Magar hamal ke liye koi khaas zikr, koi khaas dua, koi khaas wazeefa, aur koi khaas amal nahi batlaya gaya hai.

Takleef ki halat me hamila (pregnant) aurat bagair takhsees kiye zikr o azkaar, tilawat e Quran, dua aur isteghfar wagera kar sakti hai.

Note - Museebat Aur Bechaini Ke Waqt Ki Duayen Hadith se Sabit hai jise main agle psot me In Shaa Allah Share Karuga:


➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment