Saturday 4 November 2017

📍Wali ki Ahmiyat-


Abu Musa Ashri(R.z) byan krte hain ke Nabi(S.A.W) ne farmaya: “Wali ke bagair Nikah nahi hai.”.

📚{Abu Dawood 2085}
📚{Tirmidhi 1101}
📚{Ibn Maajah 1881}

Aur ek Hadees me Nabi(S.A.W) ka farman hai:

“Jis Aurat ne bhi apne wali ki ijazat ke bagair Nikah kiya,Uska Nikah batil hai,Uska Nikah batil hai,Uska Nikah batil hai. Aur ager jhagda kare to uska jiska wali na ho uska Haakim wali hai.

📚{Abu Dawood 2083}
📚{Tirmidhi 1102}

Nabi sale Allah alaihi wasallam ka farmaan hai : Koi aurat kisi aurat ki shadi nah kare, aur nah hi koi aurat khud apni shadi khud kare, jo bhi apni shadi khud karti hai woh zania hogi.

📚{Sunan Ibn Maja 1782}

Aurat ka walii is ka waalid hai is ke baad jis ke baara mein woh wasiyat kare, phir is ka dada, aur iss ke oopar tak, phir is ke baad aurat ka beta, aur phir pota aur iss se neechay tak, phir is ke baad aurat ka saga bhai, phir waalid ki taraf se bhai, phir un dono ke betay, phir aurat ka saga chacha, phir waalid ki taraf se chacha, phir chacha ke betay, phir nasb ke lehaaz ke se qareebi shakhs jo ho walii banay ga jis terhan kay wirasat mein hai, aur phir jis ka koi walii nahi is ka walii musalman hukmaran ya phir is ka qaim maqam qaazi walii banay ga .

Aadmi ke liye Aqad nikah ke waqt walii ka hona wajib nahi hai. Aadmi ka ek walii ke baghair nikah ho jata hai-

Nabi sale Allah alaihi wasallam ka farmaan hai : Nikah ka elaan karo .

📚{Musnad Ahmad 1072}


➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment