Thursday 2 November 2017

📍 Amal Mein Sab Se Pehli Cheez Jis ke Baare Mein Sawal Hoga Woh Hai Namaz



Bismillahir Rahmanir Raheem

Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Amal mein Sabse Pahli cheez Jis ke baare mein Qayamat mein sawal hoga wo hogi, ‘Namaz’."

 Allah Ta'ala Farishto se farmaye ga, jabki use sabse zyada ilm hoga, ‘Mere bande ki namaz dekho, Kya wo mukammal hai ya usme kami hai❓

 Agar wo Mukammal hui to use mukammal darj kardi jayegi, lekin agar usme koi kammi hui to Allah kahe ga;

‘Dekho kya (mere bande ki) koi nawafil (sunnate, witr,etc) namaze maujud hai.’ Agar uski nawafil namaze maujud hongi to Allah kahega, ‘(Mere bande ke) Farz namaz ki kammi ko nawafil namaz se puri kardi jaye.’ Aur phir baaki aamaal ka hisab bhi isi tarah hoga.”

📚 (Narrated by Abu Dawood, 864; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh Abi Dawood, 770.)

🌷 Note: Arabic me nawafil ka matlab farz ke alawa, gair-farz (ibadat) hoti hai jaise sunnate, witr, waghairah.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment