Thursday 2 November 2017

📍Darhi Rakhne ka Hukm Quraano Hadees ki Roshni me.


Kya Darhi Rakhana Zaroori he❓

Aayiye Jante Hai Darhi Rakhne ka hukm kya hai Shariyat me.
Hamare Muashre me Aksar Log Darhi rakhana Gair Zaruri Smjhte hain. Jabki Haqeeqat ye hai ki Darhi Rakhna Sirf Sunnat Hi nahi Balki Isko Wajib Kaha Gya hai._

Iske Bareme Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Iska Khas Hukm dia hai.

📘Hadees: (1)
MushrikoN ki Mukhalifat Kro Darhi ko Badhaao Aur Moonchho ko Chhota karo.
📚{Bukhari Sharif 5892, 5893}


📗Hadees: (2)
Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Ta'ala Anhu Farmate hain ki Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ne Moonchho ko Chhota karne. Aur Darhi ko Badhaane ka hukm Dia Hai.
📚{Abu dawd 4199}
📚{Muslim Sharif 259}
📚{Tirmizi Sharif 2764}


📍Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓

Quraan Ka hukm Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ki Ita'At Karne Ke Liye.
Allah Ta'ala Quraan me Irshad Farmata hai..

📓QURAAN:
Aur Jo Kuchh Rasool صلى الله عليه وسلم Tumhe De Wo le lo Aur Jis Baat Se Manaa Farmayen Usse Ruk Jao Aur Allah Se Daro. Beshaq Allah Sakht Azaab Dene Wala Hai.
📚{Surah Hashr Ayah No.7}

Is Ayat Par Agar Gour Kia Jae To Hamen Pata Chalta he ki Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ke Hukmo ko Manna Asal me Allah ke Hukm ko manna he, Aur Allah ke Hukm Ko Manna Aur Uspar Amal Karna Har Insan Par Farz hai.

Aur Ek Jagah Allah Rabbul izzat.

Irshad Farmata hai.

مَنۡ یُّطِعِ الرَّسُوۡلَ فَقَدۡ اَطَاعَ اللّٰہ

Jisne Rasool صلى الله عليه وسلم ki Farmabardari ki Usne Meri Yaani Allah ki Farmabardari ki.
📚{Surah Nisa Ayah no. 90}

_Yaani Jisne Rasool صلى الله عليه وسلم ke hukm ko maana Usne Allah ke hukm ko Maana Ab Chunki Darhi Badhane
Ka hukm Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne Farmaya hai Isliye._

Dadhi Rakhne me Na Sirf Rasool صلى الله عليه وسلم ki Farmabardari hai Balki Allah ki Farmabardari hai.

Dadhi Rakhane me Na Sirf Hadees Par Amal karna hua Balki Quraane Paak Par bhi Amal karna hua Ab Itna jaan lene k baad bhi jo koi Allah Kr Rasool صلى الله عليه وسلم ke farman ki Mukhalifat kare Unka kehna na maaneYa Apni Aqal se Apni Raaye ko Muashre ko Ya dunia Waalo ko Apke hukm Se Zyada Tarjih de o Ese logo ko Allah Rabbul Izzat Se Darte rehna chahye ki kahin koi Azaab Unpar Na AA jae Kyunki Allah Ta'ala ne Irshad Farmaya.
👇🏻👇🏻👇🏻

" Jo log Rasool صلى الله عليه وسلم ke hukm ki mukhalifat kerte hainUnhe Darna Chahye ki Kahin Unpar koi Zabardasht Aafat Na Aa Padhe Ya Unhe dardnak Azaab Na Pahunche.

📚{Surah Noor, Ayah no.63}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

1 comment: