Thursday 2 November 2017

📍"INSAAN KE BANAAYE HUYE QAANOON SE FAISLA KARNE WAALE KO TAAGHOOT KEHTE HAIN.


Aur Woh Shakhs Bhi Taaghoot Keh Laayega Jo Apne Muqaddimey Aise Insaan Ke Paas Lekar Jaata Hai Jo Allaah Ke Qaanoon Ko Chhord Kar Insaani Qaanoon Se Faisla Karta Ho. Aur Taaghoot Hi Taaghoot Ki Ibaadat Karta Hai.

Allah Ta'ala Ne Farmaaya :

"Kya Aap Ne Un Logon Ko Nahi Dekha Jo Da'Waa Tou Yeh Karte Hain Ke Jo (Kitaab) Aap Par Naazil Huyi Aur Jo (Kitaabein) Aap Se Pehle Naazil Huyi, Un Sab Par Eemaan Rakhte Hain (Magar) Chaahte Hain Ke Apna Muqaddama Taaghoot Ke Paas Ley Jaakar Faisla Karaaein.

Haalanke Unhein Us Taaghoot Ke Saath Kufr Karne Ka Hukm Diya Gaya Tha Aur Shaitaan Unhein Bhatka Kar Seedhey Raaste Se Bohat Door Ley Jaana Chaahta Hai."
*📚{Surah An-Nisaa, Aayat : 60}

Phir Allah Ne Farmaaya :

"(Yeh Log Agar Allaah Ke Qaanoon Ko Nahi Maantey) Tou Kya Phir Yeh Jaahiliyyat Ka Faisla Chaahtey Hain ? Aur Jo Log Allaah Par Yaqeen Rakhtey Hain Un Ke Nazdeek Allaah Se Behtar Faisla Karney Waala Aur Koi Nahi."

📚{Surah Al-Maaidah, Aayat : 50}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment