Thursday 2 November 2017

📍Jaan Boojh Kar Namaaz Chorna.


📘Hadith:
Jo jaanbujh kar farz namaz chorh de to Allah ke zimme se bari ho gaya.

Abu darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mere mehboob Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe waseeyat farmayee ki Allah ke saath kisi ko sharik na karna chahe tumhare tukde tukde kar diye jaye ya tumhe aag mein jala diya jaye Aur farz namaz ko jaan bujh kar kabhi mat chorhna kyunki jo jaanbujh kar farz namaz chorh de to Allah ke zimme se bari ho gaya (yani ab wo Allah ki panah mein nahi) aur sharab na peena kyunki sharab har burayee ki kunji (key) hai..
📚{Sunan Ibn Majah 4034}

📖Al Quran:

Yaqeenan namaz mominon per muqarrara waqton per farz hai.
📚{Surah An-Nisa, Aayet103}

📘Hadith:
Abdullah bin buraidah Radi-Allahu-Anhu ne apney walid se rivayat kiya ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Hamare aur unke (munafiqon ke) darmiyan Ahad Namaz hai to jisne Namaz ko chorh de usney kufr kiya.
📚{Sunan Ibn Majah, 1079}

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment