Wednesday 1 November 2017

📍Jis Shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to Allah Subhanahu uskey Kaamo mein pareshaani daal dega.



📗AL Quran :
Jo shaksh duniya chahta ho to hum usey jis qadar chahtey hain jitna chahtey hain jaldi de dete hain, phir uskey liye jahannam tayyar kar rakhi hai jismein wo zaleel aur khawar (disgraced and rejected) hokar rahega.Aur jo shaksh aakhirat chahta ho aur uskey liye munasib koshish bhi karta ho aur wo momeen bhi ho to aisey logon ki koshish maqbool hogi.
📚{Surah Al- Isra, Aayet ,18-19}

Abdur-Rahman bin Aban bin Uthman bin ‘Affan Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jis shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to Allah subhanahu uskey Kaamo mein pareshaani daal dega ,aur uski muflisi dono aankho ke darmiyan kar dega , aur duniya usko utni hi milegi jitni uski taqdeer mein likhi hai, aur jo aakhirat ki fikr karega to Allah subhanahu uskey sarey kaam durust kar dega, aur uskey dil mein (duniya se )  be parwahi daal dega aur duniya kis bhi tarah uskey paas aayegi.
📚{Sunan lbn Majah, Vol 3, 986}

➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰➰
🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment