Thursday 2 November 2017

📍Muhammad Ur RasoolUllah Sallallahu Alaihi Wasallam K Huqooq.


1.Risalat Per Imaan
2.Itteba
3 Muhabbat
4.Touqeer
5.Durood

Note:-
Durood Sirf Wohi Padhega Jo Touqeer (Ahteraam/Tazeem) Karta Hai, Tazeem Wohi Karega Jo Muhabbat Karta Hai, Muhabbat Wohi Karega Jo Itteba Karta Hai Aur Itteba Wohi Karega Jo Imaan Lata Hai.

📗RasoolUllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Pahla Haq.

📕1.Risalat Per Imaan:-

Allah Ta'la Ka Farmaan Hai

"Aye Imaan Walou! Allah Ta'ala Per Uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Per Imaan Lao".
📚(Surah An-Nisaa Ayat No.136)

Abu Huraira RaziAllahu Anhu Se Riwayat Hai k Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Khasam Hai Us Zaat Ki Jiske Qabze Me Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Jaan Hai k Is Ummat Ka Koi Bhi Yahoodi Aur Nasraani Jo Meri Baat Sune (Shariyat) jiske Sath Main Bheja Gaya Hu (Yaani Islam) Aur Wo Isper Imaan Na Laye To Uska Thikana Jahannum Walou me se Hoga.
📚(Sahih Muslim, Kitab Ul Imaan H No.386)

📗Risalat Per Imaan 4 Chizou se Laya Jaata Hai.

📕1.Khabar ki Tasdeeq Karna:

Allah Ta'la Ka Farmaan Hai

"Aur Qoum-e-Nooh Ne Jab Rasoolou Ko Jhoota Kaha To Humne Inhe Garq Kardiya Aur Logou K Liye Inhe Nishaan Ibrat Banadiya. Aur Humne Zalimou k Liye Dardnaak Azaab Mahiya Kar Rakha".
📚(Surah Al-Furqaan Ayat No.37)

📕2.Hukm Ki Tameel Karna:-

Allah Ta'la Ka Farmaan Hai

"Aur Tumhe Jo Kuch Rasool De Lelo".
📚(Surah Al-Hashr Ayat No.7)

📕3.Nahi Se Ruk Jaana:-

Allah Ta'la Ka Farmaan Hai

"Aur Jisse Roke Ruk Jao Allah Ta'la se Darte Raha Karo, Yaqinan Allah Ta'la Sakht Azaab Hai".

📚(Surah Al-Hashr Ayat No.7)

📕4.Ibadat Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam k Tareeqe Per Karna:-

Allah Ta'la Ka Farmaan Hai

"Aur Allah Aur Uske Rasool ki Farmabardari Karo Taake Tum Per Raham Kiya Jaye".
📚(Surah Al-Imran Ayat No.132)

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment