Thursday 2 November 2017

📍TAQDEER PAR EIMAN AUR AMAL.


Hazrat Ali Bin Abu Taalib Radhi ALLAH Anhu bayan karte hain ke Rasul ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, "Tum me se har ek ka jannat ya jahannam me thikana likha ja chuka hai." Haazireen me se ek aadmi ne daryaaft kiya Ya Rasul ALLAH! Phir kya hum us likhe par bharosa kar ke na baith jayen❓

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya,
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
"Nahi, balke kaam karo, har ek ka raasta aasan kar diya gaya hai." Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye Aayat kareema tilawat farmayi, "phir jisne maal kharch kiya aur taqwa ikhtiyar kiya" (Surah al lail) Sahi muslim ke alfaz hai: "jis raah ke liye koi paida hua hai woh uske liye aasan kar di gayi hai."
📚{Sahi Bukhari 4664}
📚{Sahi Muslim 2647}

📗NOTE
Is hadis me Nabi akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne mehnat karne ka hukm diya hai aur taqdeer par bharosa karke baithe rahne se mana farmaya hai. ALLAH TA'ALA har us bande ki madad farmata hai jo nek kaam ka irada kare aur neki ki raah me mehnat aur koshish kare aur ALLAH kisi ko uski istata'at se badh kar takleef nahi deta. To har bande ko jitna ho sake nek aamal karne ki koshish karna chahiye aur natija ALLAH TA'ALA par chhor dena chahiye.

ALLAH har ek ke liye uski taqdeer ke mutabiq aasaniya paida farma deta hai aur uski neki aur badi ke mutabiq usko ajr deta hai. ALLAH hum sab ko nekiyan karne ki aur buraiyon se bachne ki taufiq ata farmaye.
AMEEN ❗

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment