Thursday 2 November 2017

📍Taqwa Ka Matlab Kya Hai❓


Hazrat Abi Bin Kaab se Hazrat Umar Bin Khat'taab (RaziALLAHU Anhu) ne puchha k taqwa kya hai❓
Unhone kaha :
Kabhi kaantodaar raaste mein chale ho❓
Jaise wahan kapdo ko aur jism ko bachate ho aise hi gunaahon se baal baal bachne ka naam taqwa hai.
📚{Tafseer Ibn Kaseer Jild :1 Page 75}

📘Hadith:
Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai keh Rasool Allah sallallahu Alaihi wasallam se pucha gya keh kaun si cheez logon ko jannat me le jaye gi❓
Aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya do cheezen  hain kahuf e ilahi (Taqwa Of Allah) aur husn ikhalaq._

Phir app sallallahu Alaihi wasallam se pucha gya keh  sab se zyada kaun si cheezen logon ko jahnnam mein le jaye gi❓
To aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya , do cheezen , zuban aur shram gah.

📚{Jamia Tirmidhi:2004}

📒 Allah ka Kahuf Aur Husn e ikhalaq jis ke andar paye jayen iss se behatar insan koi nahi , issi tarah jo shaksh apni  zuban aur shram gah ki hifazat na kar sake iss se zyada baad- naseeb aur koi nahi.

🥀To get the reward in Akhirah,🥀
Share this with your families and friends For join with our group,send your name and number to

🖍📩+91- 8507806751

📍"Note:-
Hamare Old Msg Read Karne Ke Liye قرآن و سنہ ke blogspot Par visit kare.

https://adilsaba.blogspot.com/

1 comment:

  1. ماشاءاللہ اللہ ہماری زندگی بھی امان اور عافیت والی ہو

    ReplyDelete